الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب مناقب الأنصار
Kitab: Ansar ke manaqib
باب وفود الأنصار إلى النبى صلى الله عليه وسلم بمكة وبيعة العقبة:
Bab: Makkah mein Nabi Karim ﷺ ke paas Ansar ke wufud ka aana aur Bay’at-e-Aqabah ka bayan.
Hadith Number: 3891
حدثني إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام، ان ابن جريج اخبرهم، قال عطاء: قال جابر:" انا وابي وخالي من اصحاب العقبة".
Mujh se Ibrahim Bin Musa ne bayan kiya, kaha hum ko Hisham Bin Yusuf ne khabar di, unhein Ibn Juraij ne khabar di, un se Ata ne bayan kiya ke Jabir Radi Allahu Anhu ne kaha mein mere walid aur mere do mamoon teeno Bai'at-e-Uqbah karne walon mein shareek thay
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3890
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، قال: كان عمرو، يقول: سمعت جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، يقول:" شهد بي خالاي العقبة"، قال ابو عبد الله: قال ابن عيينة: احدهما البراء بن معرور.
Hum se Ali Bin Abdullah Madini ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Bin Uyainah ne bayan kiya, kaha ke Amr Bin Dinar kaha karte thay ke mein ne Jabir Bin Abdullah Radi Allahu Anhuma se suna unhon ne bayan kiya ke mere do mamoon mujhe bhi Bai'at-e-Uqbah mein sath le gaye thay. Abu Abdullah Imam Bukhari ne kaha ke Ibn Uyainah ne bayan kiya un mein se ek Bara Bin Maroor Radi Allahu Anhu thay
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة