الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب مناقب الأنصار
Kitab: Ansar ke manaqib
باب وفود الأنصار إلى النبى صلى الله عليه وسلم بمكة وبيعة العقبة:
Bab: Makkah mein Nabi Karim ﷺ ke paas Ansar ke wufud ka aana aur Bay’at-e-Aqabah ka bayan.
Hadith Number: 3889
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب. ح حدثنا احمد بن صالح، حدثنا عنبسة، حدثنا يونس، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عبد الرحمن بن عبد الله بن كعب بن مالك، ان عبد الله بن كعب، وكان قائد كعب حين عمي، قال: سمعت كعب بن مالك يحدث حين تخلف، عن النبي صلى الله عليه وسلم في غزوة تبوك بطوله، قال ابن بكير في حديثه:" ولقد شهدت مع النبي صلى الله عليه وسلم ليلة العقبة حين تواثقنا على الإسلام وما احب ان لي بها مشهد بدر وإن كانت بدر اذكر في الناس منها".
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Lais ne bayan kiya, un se Aqeel ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne (doosri sanad), Imam Bukhari ne kaha aur hum se Ahmad Bin Salih ne bayan kiya, kaha hum se Anbasah Bin Khalid ne bayan kiya, hum se Yunus Bin Yezid ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne bayan kiya ke mujhe Abdur Rahman Bin Abdullah Bin Ka'b Bin Malik ne khabar di aur unhein Abdullah Bin Ka'b ne jab wo nabina ho gaye to wo chalte phirte waqt un ko pakar kar le chalte thay, unhon ne bayan kiya ke mein ne Ka'b Bin Malik Radi Allahu Anhu se suna ke wo ghazwa-e-Tabook mein shareek na hone ka taweel waqia bayan karte thay Ibn Bukair ne apni riwayat mein bayan kiya ke Ka'b ne kaha ke mein Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke paas Uqbah ki raat mein hazir tha jab hum ne Islam par qaim rehne ka pukhta ahad kiya tha, mere nazdeek (Lailat-ul-Uqbah ki bai'at) Badr ki larai mein haziri se bhi zyada pasandida hai agarchay logon mein Badr ka charcha is se zyada hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2757
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عبد الرحمن بن عبد الله بن كعب، ان عبد الله بن كعب، قال: سمعت كعب بن مالك رضي الله عنه، قلت: يا رسول الله، إن من توبتي ان انخلع من مالي صدقة إلى الله وإلى رسوله صلى الله عليه وسلم، قال:" امسك عليك بعض مالك فهو خير لك، قلت: فإني امسك سهمي الذي بخيبر".
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya ' kaha hum se Laith ne bayan kiya ' un se Aqeel ne ' un se Ibn Shihab ne kaha ke mujhe Abdur Rahman Bin Abdullah Bin Kaab ne khabar di aur un se Abdullah Bin Kaab ne bayan kiya ke mein ne Kaab Bin Malik (Radi Allahu Anhu) se suna ' wo bayan karte thay ke mein ne arz kiya ya Rasul Allah! Meri tauba (ghazwa Tabook mein na jaane ki) qabool hone ka shukrana ye hai ke mein apna maal Allah aur us ke Rasul ke raste mein dedoon. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke agar apne maal ka ek hissa apne paas hi baqi rakkho to tumhare haq mein ye behtar hai. Mein ne arz kiya ke phir mein apna Khaibar ka hissa apne paas mehfooz rakhta hoon
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة