الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب مناقب الأنصار
Kitab: Ansar ke manaqib
باب مناقب زيد بن ثابت رضي الله عنه:
Bab: Zaid bin Thabit Radiallahu Anhu ke fazail ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 3810
حدثني محمد بن بشار، حدثنا يحيى، حدثنا شعبة، عن قتادة، عن انس رضي الله عنه , قال:" جمع القرآن على عهد النبي صلى الله عليه وسلم اربعة كلهم من الانصار: ابي , ومعاذ بن جبل , وابو زيد , وزيد بن ثابت، قلت لانس: من ابو زيد؟ قال: احد عمومتي".
Mujh se Muhammad Bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Yahya ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Qatadah ne aur un se Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke zamane mein char aadmi jin sab ka talluq qabila Ansar se tha, Quran Majeed jama karne wale thay. Ubayy Bin Kab, Muaz Bin Jabal, Abu Zaid aur Zaid Bin Sabit Radi Allahu Anhum mein ne poocha: Abu Zaid kaun hain? Unhon ne farmaya ke wo mere ek chacha hain
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3758
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا شعبة، عن عمرو بن مرة، عن إبراهيم، عن مسروق، قال: ذكر عبد الله عند عبد الله بن عمرو، فقال: ذاك رجل لا ازال احبه بعد ما سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" استقرئوا القرآن من اربعة من عبد الله بن مسعود فبدا به وسالم مولى ابي حذيفة , وابي بن كعب , ومعاذ بن جبل"، قال: لا ادري بدا بابي او بمعاذ بن جبل.
Hum se Sulaiman Bin Harb ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Amr Bin Murrah ne, un se Ibrahim ne aur un se Masruq ne ke Abdullah Bin Amr Radi Allahu Anhuma ke yahan Abdullah Bin Masood ka zikr hua to unhon ne kaha mein un se hamesha mohabbat rakhoon ga kyunke mein ne Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye farmate suna hai ke char ashkhash se Quran seekho. Abdullah Bin Masood, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne ibtida Abdullah Bin Masood Radi Allahu Anhu se hi ki aur Abu Huzaifah ke Maula Salim, Ubayy Bin Kab aur Muaz Bin Jabal se, unhon ne bayan kiya ke mujhe poori tarah yaad nahi ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne pehle Ubayy Bin Kab ka zikr kiya ya Muaz Bin Jabal Radi Allahu Anhu ka
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3760
وقال:" استقرئوا القرآن من اربعة: من عبد الله بن مسعود , وسالم مولى ابي حذيفة , وابي بن كعب , ومعاذ بن جبل".
Aur aap ne farmaya ke Quran Majeed char aadmiyon se seekho, Abdullah Bin Masood, Abu Huzaifah ke Maula Salim, Ubayy Bin Kab aur Muaz Bin Jabal (Radi Allahu Anhum) se
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3806
حدثني محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن عمرو، عن إبراهيم، عن مسروق، عن عبد الله بن عمرو رضي الله عنهما، سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" استقرئوا القرآن من اربعة: من ابن مسعود , وسالم مولى ابي حذيفة , وابي , ومعاذ بن جبل".
Mujh se Muhammad Bin Bashar ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ghundar ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Amr ne, un se Ibrahim ne, un se Masruq ne aur un se Abdullah Bin Amr Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke mein ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se suna Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya " Quran char (Sahaba) Abdullah Bin Masood, Abu Huzaifah ke ghulam Salim aur Ubayy Bin Kab aur Muaz Bin Jabal (Radi Allahu Anhum) se seekho. "
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3808
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن عمرو بن مرة، عن إبراهيم، عن مسروق، قال: ذكر عبد الله بن مسعود عند عبد الله بن عمرو، فقال: ذاك رجل لا ازال احبه سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" خذوا القرآن من اربعة: من عبد الله بن مسعود فبدا به وسالم مولى ابي حذيفة ومعاذ بن جبل وابي بن كعب".
Hum se Abu-ul-Walid ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Amr Bin Murrah ne, un se Ibrahim ne, un se Masruq ne bayan kiya ke Abdullah Bin Amr Radi Allahu Anhuma ki majlis mein Abdullah Bin Masood Radi Allahu Anhu ka zikr aaya to unhon ne kaha ke is waqt se in ki mohabbat mere dil mein baith gayi jab se mein ne Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye farmate suna ke Quran char aadmiyon se seekho, Abdullah Bin Masood se, Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne unhein ke naam se ibtida ki, aur Abu Huzaifah ke ghulam Salim se, Muaz Bin Jabal se aur Ubayy Bin Kab se
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3996
حدثني خليفة، حدثنا محمد بن عبد الله الانصاري، حدثنا سعيد، عن قتادة، عن انس رضي الله عنه، قال:" مات ابو زيد ولم يترك عقبا وكان بدريا".
Mujh se Khalifa ne bayan kiya, hum se Abdullah Ansari ne bayan kiya, un se Saeed ne bayan kiya, un se Qatadah aur un se Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Abu Zaid Radi Allahu Anhu wafat pa gaye aur unhon ne koi aulad nahi chori, wo Badr ki larai mein shareek hue thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4999
حدثنا حفص بن عمر، حدثنا شعبة، عن عمرو، عن إبراهيم، عن مسروق، ذكر عبد الله بن عمرو عبد الله بن مسعود، فقال: لا ازال احبه، سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" خذوا القرآن من اربعة: من عبد الله بن مسعود، وسالم، ومعاذ بن جبل، وابي بن كعب".
Hum se Hafs bin Umar ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , un se Amr bin Murrah ne , un se Ibrahim Nakhai ne , un se Masrooq ne ke Abdullah bin Amr bin al-Aas ne Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ka zikr kiya aur kaha ke is waqt se in ki mohabbat mere dil mein ghar kar gayi hai jab se main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko yeh kehte huay suna ke Quran Majeed ko char as-haab se haasil karo jo Abdullah bin Masood , Salim , Maaz aur Ubayy bin Kabb hain .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5003
حدثنا حفص بن عمر، حدثنا همام، حدثنا قتادة، قال:" سالت انس بن مالك رضي الله عنه من جمع القرآن على عهد النبي صلى الله عليه وسلم؟ قال: اربعة، كلهم من الانصار: ابي بن كعب، ومعاذ بن جبل، وزيد بن ثابت، وابو زيد". تابعه الفضل، عن حسين بن واقد،عن ثمامة، عن انس.
Hum se Hafs bin Umar bin Ghiyas ne byaan kiya , kaha hum se Hammam bin Yahya ne byaan kiya , kaha hum se Qatadah ne byaan kiya , kaha ke main ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se poocha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke zamana mein Quran ko kin logon ne jama kiya tha , unhon ne batlaya ke char sahabiyon ne , yeh charon qabila Ansar se hain . Ubayy bin Kabb , Maaz bin Jabal , Zayd bin Sabit aur Abu Zayd . Is riwayat ki mutabia't Fadl ne Husain bin Waqid se ki hai . In se Sumama ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5004
حدثنا معلى بن اسد، حدثنا عبد الله بن المثنى، قال: حدثني ثابت البناني، وثمامة، عن انس بن مالك، قال:" مات النبي صلى الله عليه وسلم و لم يجمع القرآن غير اربعة: ابو الدرداء، ومعاذ بن جبل، وزيد بن ثابت، وابو زيد، قال: ونحن ورثناه".
Hum se Mualla bin Asad ne byaan kiya , kaha hum se Abdullah bin Musanna ne byaan kiya , kaha ke mujh se Sabit Banani aur Sumama ne byaan kiya aur un se Anas ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki wafat tak Quran Majeed ko char sahabiyon ke siwa aur kisi ne jama nahi kiya tha . Abu Dardaa , Maaz bin Jabal , Zayd bin Sabit aur Abu Zayd razi Allahu anhum . Anas ne kaha ke Abu Zayd ke waris hum huay hain .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة