الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب مناقب الأنصار
Kitab: Ansar ke manaqib
باب مناقب أبى بن كعب رضي الله عنه:
Bab: Ubayy bin Ka’b Radiallahu Anhu ke fazail ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 3809
حدثني محمد بن بشار، حدثنا غندر، قال: سمعت شعبة، سمعت قتادة، عن انس بن مالك رضي الله عنه، قال النبي صلى الله عليه وسلم لابي:" إن الله امرني ان اقرا عليك لم يكن الذين كفروا من اهل الكتاب، قال: وسماني، قال:" نعم" , فبكى".
Hum se Muhammad Bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Ghundar ne bayan kiya, kaha ke mein ne Shuba se suna, unhon ne Qatadah se suna aur un se Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Ubayy Bin Kab se farmaya ke Allah Ta'ala ne mujhe hukm diya hai ke mein tum ko Surah «Lam yakunillazeena kafaru» sunaoon. Ubayy Bin Kab Radi Allahu Anhu bole kya Allah Ta'ala ne mera naam liya hai? Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke haan, is par Ubayy Bin Kab Radi Allahu Anhu fart-e-musarrat se rone lage
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4959
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، سمعت قتادة، عن انس بن مالك رضي الله عنه، قال النبي صلى الله عليه وسلم لابي:" إن الله امرني ان اقرا عليك لم يكن الذين كفروا سورة البينة آية 1، قال: وسماني، قال: نعم، فبكى".
Hum se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya, kaha ke hum se Ghundar ne byaan kiya, kaha hum se Shubah ne byaan kiya, main ne Qatadah se suna aur unhon ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Ubayy bin Kabb se farmaya ke Allah Ta'ala ne mujhe hukm diya hai ke tumhein Surah «lam yakun-illazhina kafaroo» parh kar sunaoon. Ubayy bin Kabb razi Allahu anhu ne arz kiya, kya Allah Ta'ala ne mera naam bhi liya hai? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke haan, is par woh rone lage.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4960
حدثنا حسان بن حسان، حدثنا همام، عن قتادة، عن انس رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم لابي:" إن الله امرني ان اقرا عليك القرآن"، قال ابي: آلله سماني لك، قال:" الله سماك لي"، فجعل ابي يبكي، قال قتادة: فانبئت انه قرا عليه لم يكن الذين كفروا من اهل الكتاب سورة البينة آية 1.
Hum se Hassan bin Hassan ne byaan kiya, kaha hum se Hammam ne byaan kiya, un se Qatadah ne aur un se Anas razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Ubayy bin Kabb razi Allahu anhu se farmaya ke Allah Ta'ala ne mujhe hukm diya hai ke tumhein Quran (Surah Lam Yakun) parh kar sunaoon. Ubayy bin Kabb ne arz kiya: kya Aap se Allah Ta'ala mera naam bhi liya hai? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke haan, Allah Ta'ala ne tumhara naam bhi mujh se liya hai. Ubayy bin Kabb razi Allahu anhu yeh sun kar rone lage. Qatadah ne byaan kiya ke mujhe khabar di gayi hai ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne unhein Surah «lam yakun-illazhina kafaroo min ahlil kitaabi» parh kar sunayi thi.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4961
حدثنا ابو جعفر المنادي، حدثنا روح، حدثنا سعيد بن ابي عروبة، عن قتادة، عن انس بن مالك، ان نبي الله صلى الله عليه وسلم، قال لابي بن كعب:" إن الله امرني ان اقرئك القرآن"، قال: آلله سماني لك؟ قال: نعم، قال: وقد ذكرت عند رب العالمين؟ قال: نعم، فذرفت عيناه.
Hum se Ahmad bin Abi Dawood Abu Jafar Munadi ne byaan kiya, kaha hum se Rauh ne byaan kiya, kaha hum se Saeed bin Abi Aroobah ne, un se Qatadah ne aur un se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Ubayy bin Kabb se farmaya ke Allah Ta'ala ne mujhe hukm diya hai ke tumhein Quran ki (Surah Lam Yakun) parh kar sunaoon. Unhon ne poocha kya Allah ne Aap se mera naam bhi liya hai? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke haan. Ubayy bin Kabb razi Allahu anhu bolay tamam jahanon ke paalne wale ke haan mera zikr hua? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke haan is par un ki aankhon se aansu nikal pare.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4970
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا ابو عوانة، عن ابي بشر، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس، قال: كان عمر يدخلني مع اشياخ بدر، فكان بعضهم وجد في نفسه، فقال: لم تدخل هذا معنا ولنا ابناء مثله، فقال عمر: إنه من قد علمتم، فدعاه ذات يوم، فادخله معهم، فما رئيت انه دعاني يومئذ إلا ليريهم، قال: ما تقولون في قول الله تعالى إذا جاء نصر الله والفتح سورة النصر آية 1؟ فقال بعضهم: امرنا ان نحمد الله ونستغفره إذا نصرنا وفتح علينا، وسكت بعضهم فلم يقل شيئا، فقال لي: اكذاك تقول يا ابن عباس؟ فقلت: لا، قال: فما تقول، قلت: هو اجل رسول الله صلى الله عليه وسلم اعلمه له، قال: إذا جاء نصر الله والفتح وذلك علامة اجلك، فسبح بحمد ربك واستغفره إنه كان توابا، فقال عمر: ما اعلم منها إلا ما تقول".
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , kaha hum se Abu Awanah ne byaan kiya , un se Abu al-Bishr ne , un se Saeed bin Jubayr ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Umar bin Khattab razi Allahu anhu mujhe burhay Badri sahabah ke saath majlis mein bithate thay . Baaz (Abdur Rahman bin Auf) ko is par aitraz hua , unhon ne Umar razi Allahu anhu se kaha ke isay Aap majlis mein hamare saath bithate hain , is ke jaise to hamare bhi bache hain ? Umar razi Allahu anhu ne kaha ke is ki wajah tumhein maloom hai . Phir unhon ne ek din Ibn Abbas razi Allahu anhuma ko bulaya aur unhein burhay Badri sahabah ke saath bithaya (Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke) main samajh gaya ke Aap ne mujhe unhein dikhane ke liye bulaya hai , phir un se poocha Allah Ta'ala ke is irshad ke mutalliq tumhara kya khayal hai «izha jaa'a nasrullahi wal fathu» al-kh yani ”jab Allah ki madad aur fatah aa pahunchi“ baaz logon ne kaha ke jab hamain madad aur fatah haasil hui to Allah ki hamd aur us se istighfar ka hamain aayat mein hukm diya gaya hai . Kuch log khamosh rahe aur koi jawab nahi diya . Phir Aap ne mujh se poocha: Ibn Abbas! Kya tumhara bhi yahi khayal hai ? Main ne arz kiya ke nahi . Poocha phir tumhari kya rai hai ? Main ne arz ki ke is mein Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki wafat ki taraf isharah hai . Allah Ta'ala ne Nabi salla Allahu alaihi wasallam ko yahi cheez batayi hai aur farmaya «izha jaa'a nasrullahi wal fathu» ke ”jab Allah ki madad aur fatah aa pahunchi“ yani phir yeh Aap ki wafat ki alamat hai . Is liye Aap apne Parvardigar ki paaki wa tareef byaan kijiye aur us se bakhshish maanga kijiye . Beshak woh bara tauba qabool karne wala hai . Umar razi Allahu anhu ne is par kaha main bhi wahi jaanta hoon jo tum ne kaha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة