الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الإيمان
Kitab: Iman ke bayan mein
باب صوم رمضان احتسابا من الإيمان:
Bab: Khalis niyyat ke sath Ramzan ke roze rakhna imaan ka juzw hain.
Hadith Number: 38
حدثنا محمد بن سلام، قال: اخبرنا محمد بن فضيل، قال: حدثنا يحيى بن سعيد، عن ابي سلمة، عن ابي هريرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" من صام رمضان إيمانا واحتسابا غفر له ما تقدم من ذنبه".
Hum ne Ibn-e-Salaam ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hamein Muhammed bin Fuzail ne khabar di, unhon ne kaha ke hum se Yahya bin Sa’eed ne bayan kiya, unhon ne Abu Salamah se riwayat ki, woh Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se naql karte hain ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya jis ne Ramadhan ke roze imaan aur khaalis niyyat ke saath rakhe us ke pichle gunaah bakhsh diye gaye.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 35
حدثنا ابو اليمان، قال: اخبرنا شعيب، قال: حدثنا ابو الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" من يقم ليلة القدر إيمانا واحتسابا غفر له ما تقدم من ذنبه".
Hum se Abul Yamaan ne bayan kiya, unhein Sho’aib ne khabar di, kaha un se Abuz Zinaad ne A’raj ke waaste se bayan kiya, A’raj ne Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se naql kiya, woh kehte hain ke Rasoolulllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya, jo shakhs shab-e-Qadr imaan ke saath mahez sawab-e-aakhirat ke liye zikr o ibadat mein guzaare, us ke guzashta gunaah bakhsh diye jaate hain.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 37
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن ابن شهاب، عن حميد بن عبد الرحمن، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" من قام رمضان إيمانا واحتسابا غفر له ما تقدم من ذنبه".
Hum se Ismail ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Imam Maalik Rahimahullah ne bayan kiya, unhon ne Ibn-e-Shihaab se naql kiya, unhon ne Humaid bin Abdur Rahman se, unhon ne Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya jo koi Ramadhan mein (raaton ko) imaan rakh kar aur sawab ke liye ibadat kare us ke agle gunaah bakhsh diye jaate hain.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1901
حدثنا مسلم بن إبراهيم، حدثنا هشام، حدثنا يحيى، عن ابي سلمة، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من قام ليلة القدر إيمانا واحتسابا، غفر له ما تقدم من ذنبه، ومن صام رمضان إيمانا واحتسابا، غفر له ما تقدم من ذنبه".
Hum se Muslim Bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha hum se Hisham Dastuwai ne bayan kiya, un se Yahya Bin Abi Kathir ne bayan kiya, un se Abu Salma ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke jo koi Shab-e-Qadr mein iman ke sath aur husool-e-sawab ki niyat se ibadat mein khara ho is ke tamam agle gunah bakhsh diye jayein ge aur jis ne Ramzan ke roze iman ke sath aur sawab ki niyat se rakkhe is ke agle tamam gunah maaf kar diye jayein ge
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2008
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، قال: اخبرني ابو سلمة، ان ابا هريرة رضي الله عنه، قال:" سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول لرمضان: من قامه إيمانا واحتسابا، غفر له ما تقدم من ذنبه".
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, kaha ke hum se Laith Bin Saad ne bayan kiya, un se Aqeel ne, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, ke mujhe Abu Salma ne khabar di, un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ramzan ke fazail bayan farma rahe thay ke jo shakhs bhi is mein iman aur niyat-e-ajr-o-sawab ke sath (raat mein) namaz ke liye khara ho is ke agle tamam gunah maaf kar diye jayein ge
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2009
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابن شهاب، عن حميد بن عبد الرحمن، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" من قام رمضان إيمانا واحتسابا، غفر له ما تقدم من ذنبه"، قال ابن شهاب: فتوفي رسول الله صلى الله عليه وسلم والامر على ذلك، ثم كان الامر على ذلك في خلافة ابي بكر، وصدرا من خلافة عمر رضي الله عنهما.
Hum se Abdullah Bin Yusuf Taneesi ne bayan kiya, kaha ke hum ko Imam Malik (Rahimahullah) ne khabar di, unhein Ibn Shihab ne, unhein Humaid Bin Abdur Rahman ne aur unhein Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya jis ne Ramzan ki raaton mein (bedar reh kar) namaz-e-tarawih parhi, iman aur sawab ki niyat ke sath, is ke agle tamam gunah maaf ho jayein ge. Ibn Shihab ne bayan kiya ke phir Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki wafat ho gayi aur logon ka yehi haal raha (alag alag akele aur jama'aton se tarawih parhte thay) is ke baad Abu Bakr (Radi Allahu Anhu) ke daur-e-khilafat mein aur Umar (Radi Allahu Anhu) ke ibtidai daur-e-khilafat mein bhi aisa hi raha
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2014
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، قال: حفظناه وإنما حفظ من الزهري، عن ابي سلمة، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من صام رمضان إيمانا واحتسابا غفر له ما تقدم من ذنبه، ومن قام ليلة القدر إيمانا واحتسابا غفر له ما تقدم من ذنبه"، تابعه سليمان بن كثير، عن الزهري.
Hum se Ali Bin Abdullah Madini ne bayan kiya, kaha ke hum se Sufyan Bin Uyainah ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum ne is riwayat ko yaad kiya tha aur ye riwayat unhon ne Zuhri se (sun kar) yaad ki thi. Un se Abu Salma ne bayan kiya aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya jo shakhs Ramzan ke roze iman aur ihtisab (husool-e-ajr-o-sawab ki niyat) ke sath rakhe, is ke agle tamam gunah maaf kar diye jate hain. Aur jo Lailat-ul-Qadr mein iman-o-ihtisab ke sath namaz mein khara rahe is ke bhi agle tamam gunah maaf kar diye jayein ge, Sufyan ke sath Suleiman Bin Kathir ne bhi is hadees ko Zuhri se riwayat kiya
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة