الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب مناقب الأنصار
Kitab: Ansar ke manaqib
باب قول النبى صلى الله عليه وسلم للأنصار: اصبروا حتى تلقوني على الحوض :
Bab: Nabi Karim ﷺ ka Ansar se ye farmana ke mujh se Hawz par milne tak sabr karna.
Hadith Number: 3794
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا سفيان، عن يحيى بن سعيد، سمع انس بن مالك رضي الله عنه حين خرج معه إلى الوليد، قال: دعا النبي صلى الله عليه وسلم الانصار إلى ان يقطع لهم البحرين، فقالوا: لا إلا ان تقطع لإخواننا من المهاجرين مثلها، قال:" إما لا فاصبروا حتى تلقوني فإنه سيصيبكم بعدي اثرة".
Hum se Abdullah Bin Muhammad ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Suri ne bayan kiya, un se Yahya Bin Saeed ne, unhon ne Anas Radi Allahu Anhu se suna jab wo Anas Radi Allahu Anhu ke sath Khalifa Walid Bin Abdul Malik ke yahan jaane ke liye nikle. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Ansar ko bulaya taake Bahrain ka mulk bator jagir unhein ata farma dein. Ansar ne kaha jab tak aap hamare bhai Muhajireen ko bhi isi jaisi jagir na ata farmayein hum ise qabool nahi karein ge. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya " Dekho jab aaj tum qabool nahi karte ho to phir mere baad bhi sabr karna yahan tak ke mujh se aa milo, kyunke mere baad qareeb hi tumhari haqq talfi hone wali hai. "
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2376
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا حماد بن زيد، عن يحيى بن سعيد، قال: سمعت انسا رضي الله عنه، قال:" اراد النبي صلى الله عليه وسلم ان يقطع من البحرين، فقالت الانصار: حتى تقطع لإخواننا من المهاجرين مثل الذي تقطع لنا، قال: سترون بعدي اثرة فاصبروا حتى تلقوني".
Hum se Sulaiman Bin Harb ne bayan kiya, kaha ke hum se Hammad ne bayan kiya, un se Yahya Bin Saeed ne bayan kiya, kaha ke mein ne Anas (Radi Allahu Anhu) se suna, unhon ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Bahrain mein kuch qitaat-e-arazi batur-e-jageer (Ansar ko) dene ka irada kiya to Ansar ne arz kiya ke hum jab leinge ke Aap humare Muhajir bhaiyon ko bhi isi tarah ke qitaat inayat farmayein. Is par Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke mere baad (doosre logon ko) tum par tarjeeh di jaya karegi to us waqt tum sabr karna, yahan tak ke hum se (aakhirat mein aa kar) mulaqat karo
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة