الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب مناقب الأنصار
Kitab: Ansar ke manaqib
باب قول النبى صلى الله عليه وسلم للأنصار: أنتم أحب الناس إلي :
Bab: Ansar se Nabi Karim ﷺ ka ye farmana ke tum log mujhe sab logon se zyada maqbool ho.
Hadith Number: 3785
حدثنا ابو معمر، حدثنا عبد الوارث، حدثنا عبد العزيز، عن انس رضي الله عنه، قال:" راى النبي صلى الله عليه وسلم النساء والصبيان مقبلين، قال: حسبت انه قال:" من عرس" , فقام النبي صلى الله عليه وسلم ممثلا، فقال:" اللهم انتم من احب الناس إلي" , قالها ثلاث مرار.
Hum se Abu Ma'mar ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abdul Waris ne bayan kiya, kaha hum se Abdul Aziz ne bayan kiya aur un se Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke ek martaba Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne (Ansar ki) aurton aur bacchon ko mere guman ke mutabiq kisi shadi se wapas aate hue dekha to aap Sallallahu Alaihi Wasallam kharay ho gaye aur farmaya Allah (gawah hai) tum log mujhe sab se zyada azeez ho, teen baar aap ne aisa hi farmaya
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5180
حدثنا عبد الرحمن بن المبارك، حدثنا عبد الوارث، حدثنا عبد العزيز بن صهيب، عن انس بن مالك رضي الله عنه، قال:" ابصر النبي صلى الله عليه وسلم نساء وصبيانا مقبلين من عرس، فقام ممتنا، فقال: اللهم انتم من احب الناس إلي".
Hum se Abdur Rahman bin al-Mubarak ne byaan kiya, kaha hum se Abdul Waris ne byaan kiya, kaha hum se Abdul Aziz bin Suhayb ne byaan kiya, un se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne auraton aur bachon ko kisi shadi se aate huay dekha to Aap salla Allahu alaihi wasallam khushi ke maarey jaldi se kharay ho gaye aur farmaya: ya Allah! (tu gawah reh) tum log sab logon se zyada mujhko mahboob ho.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة