الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب فضائل الصحابة
Kitab: Nabi (S.A.W) ke ashab ki fazeelat
باب مناقب عبد الله بن مسعود رضي الله عنه:
Bab: Abdullah bin Mas’ood Radiallahu Anhu ke fazail ka bayan.
Hadith Number: 3759
حدثنا حفص بن عمر، حدثنا شعبة، عن سليمان، قال: سمعت ابا وائل، قال: سمعت مسروقا، قال: قال عبد الله بن عمرو، إن رسول الله صلى الله عليه وسلم لم يكن فاحشا ولا متفحشا، وقال:" إن من احبكم إلي احسنكم اخلاقا.
Hum se Hafs Bin Umar ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Sulaiman ne bayan kiya, kaha mein ne Abu Wail se suna, kaha ke mein ne Masruq se suna, unhon ne bayan kiya ke Abdullah Bin Amr Radi Allahu Anhuma ne kaha ke Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki zaban mubarak par koi bura kalma nahi aata tha aur na Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki zaat se ye mumkin tha aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tha ke tum mein sab se zyada azeez mujhe wo shakhs hai jis ke aadat o akhlaq sab se umdah hon
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3559
حدثنا عبدان، عن ابي حمزة، عن الاعمش، عن ابي وائل، عن مسروق، عن عبد الله بن عمرو رضي الله عنهما، قال: لم يكن النبي صلى الله عليه وسلم فاحشا ولا متفحشا وكان، يقول:" إن من خياركم احسنكم اخلاقا".
Hum se Abdan ne bayan kiya, un se Abu Hamzah ne, un se Amash ne, un se Abu Wail ne, un se Masrooq ne aur un se Abdullah Bin Amr (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) bad-zaban aur larnay jhagarnay wale nahi thay. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) farmaya karte thay ke tum mein sab se behtar wo shakhs hai jis ke akhlaq sab se acche hon (jo logon se kushada peshani se pesh aaye)
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة