الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب فضائل الصحابة
Kitab: Nabi (S.A.W) ke ashab ki fazeelat
باب مناقب الحسن والحسين رضي الله عنهما:
Bab: Hasan aur Husayn Radiallahu Anhuma ke fazail ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 3750
حدثنا عبدان، اخبرنا عبد الله، قال: اخبرني عمر بن سعيد بن ابي حسين، عن ابن ابي مليكة، عن عقبة بن الحارث، قال: رايت ابا بكر رضي الله عنه وحمل الحسن وهو، يقول: بابي شبيه بالنبي , ليس شبيه بعلي , وعلي يضحك.
Hum se Abdan ne bayan kiya, kaha hum ko Abdullah ne khabar di, kaha ke mujhe Umar Bin Saeed Bin Abi Husain ne khabar di, unhein Ibn Abi Mulaikah ne, un se Uqbah Bin Haris ne bayan kiya ke mein ne Abu Bakr Radi Allahu Anhu ko dekha ke Aap Hasan Radi Allahu Anhu ko uthaye hue hain aur farma rahe hain: Mere baap un par fida hon, ye Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se mushabeh hain, Ali se nahi aur Ali Radi Allahu Anhu muskura rahe thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3542
حدثنا ابو عاصم، عن عمر بن سعيد بن ابي حسين، عن ابن ابي مليكة، عن عقبة بن الحارث، قال: صلى ابو بكر رضي الله عنه العصر، ثم خرج يمشي فراى الحسن يلعب مع الصبيان فحمله على عاتقه، وقال: بابي شبيه بالنبي لا شبيه بعلي وعلي يضحك".
Hum se Abu Asim ne bayan kiya, un se Umar Bin Saeed Bin Abi Husain ne bayan kiya, un se Ibn Abi Mulaikah ne aur un se Uqbah Bin Haris ne ke Abu Bakr (Radi Allahu Anhu) asar ki namaz se farigh ho kar masjid se bahar nikle to dekha ke Hasan (Radi Allahu Anhu) bacchon ke sath khel rahe hain. Aap ne un ko apne kandhe par bitha liya aur farmaya: Mere baap tum par qurban hon tum mein Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki shabahat hai. Ali ki nahi. Ye sun kar Ali (Radi Allahu Anhu) hans rahe thay (khush ho rahe thay)
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة