الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الصلاة
Kitab: Namaz ke ahkam o masail
باب إن صلى فى ثوب مصلب أو تصاوير هل تفسد صلاته وما ينهى عن ذلك:
Bab: Aise kapre mein agar kisi ne namaz parhi jis par saleeb ya moortiyan bani hon to namaz fasid ho gi ya nahi aur un ki mamanu’at ka bayan.
Hadith Number: 374
حدثنا ابو معمر عبد الله بن عمرو، قال: حدثنا عبد الوارث، قال: حدثنا عبد العزيز بن صهيب، عن انس، كان قرام لعائشة سترت به جانب بيتها، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" اميطي عنا قرامك هذا فإنه لا تزال تصاويره تعرض في صلاتي".
Hum se Abu Maamar Abdullah bin Amr ne bayan kiya ke kaha hum se Abdul Waris bin Saeed ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Abdul Aziz bin Suhaib ne Anas Razi Allah Anhu se naqal kiya ke Aisha Razi Allah Anha ke paas ek rangeen bareek parda tha jise unhon ne apne ghar ke ek taraf parda ke liye latka diya tha. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke mere samne se apna yeh parda hata do. Kyunke is par naqsh shuda tasaveer barabar meri namaz mein khalal andaz hoti rahi hain.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2479
حدثنا إبراهيم بن المنذر، حدثنا انس بن عياض، عن عبيد الله بن عمر، عن عبد الرحمن بن القاسم، عن ابيه القاسم، عن عائشة رضي الله عنها،" انها كانت اتخذت على سهوة لها سترا فيه تماثيل، فهتكه النبي صلى الله عليه وسلم، فاتخذت منه نمرقتين، فكانتا في البيت يجلس عليهما".
Hum se Ibrahim Bin Al-Munzir ne bayan kiya, kaha hum se Anas Bin Iyaz ne bayan kiya, un se Ubaidullah Umri ne, un se Abdur Rahman Bin Qasim ne, un se un ke walid Qasim ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne ke unhon ne apne hujre ke saiban par ek parda latka diya jis mein tasveerein bani hui theen. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne (jab dekha to) use utar kar phaara dala. (Aisha Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke) phir mein ne is parde se do gadde bana dale. Wo donon gadde ghar mein rehte thay aur Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) un par baitha karte thay
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5952
حدثنا معاذ بن فضالة، حدثنا هشام، عن يحيى، عن عمران بن حطان، ان عائشة رضي الله عنها، حدثته ان النبي صلى الله عليه وسلم" لم يكن يترك في بيته شيئا فيه تصاليب إلا نقضه".
Hum se Maaz bin Fadala ne bayan kiya, in se Hisham Dastawai ne bayan kiya, in se Yahya bin Abi Kaseer ne, in se Imran bin Hittan ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko apne ghar mein jab bhi koi cheez aaisi milti jis par saleeb ki murat bani ho (jaise Nasara rakhte hain) to us ko torr daalte.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5959
حدثنا عمران بن ميسرة، حدثنا عبد الوارث، حدثنا عبد العزيز بن صهيب، عن انس رضي الله عنه، قال: كان قرام لعائشة سترت به جانب بيتها، فقال لها النبي صلى الله عليه وسلم:" اميطي عني، فإنه لا تزال تصاويره تعرض لي في صلاتي".
Hum se Imran bin Maysarah ne bayan kiya, kaha hum se Abd-ul-Waris ne bayan kiya, kaha hum se Abd-ul-Aziz bin Suhayb ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Aisha razi Allahu anha ke paas ek parda tha. Usay unhon ne ghar ke ek kinare par latka diya tha to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yeh parda nikaal daal, is ki murat is namaz mein mere samne aati hain aur dil uchaat hota hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة