الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْمَظَالِمِ
The Book of Al-Mazalim
بَابُ هَلْ تُكْسَرُ الدِّنَانُ الَّتِي فِيهَا الْخَمْرُ أَوْ تُخَرَّقُ الزِّقَاقُ:
Chapter. (Is it permissible) to break the pots containing wine, or tear the leader containers holding wine? If one breaks an idol, a cross, or a drum (for amusement), or any other thing, the wood of which is useless (should one give a compensation)?
Show diacritics
Hadith Number: Q2477
فإن كسر صنما او صليبا او طنبورا او ما لا ينتفع بخشبه، واتي شريح في طنبور كسر فلم يقض فيه بشيء.
Agar kisi shaks ne but, saleeb ya sittar ya koi bhi is tarah ki cheez jis ki lakri se koi faida hasil na ho tor di? Qazi Shureih (Rahimahullah) ki adalat mein ek sittar ka muqadma laya gaya, jise tor diya tha, to unhon ne is ka badla nahi dilwaya
.


Show diacritics
Hadith Number: 2477
حدثنا ابو عاصم الضحاك بن مخلد، عن يزيد بن ابي عبيد، عن سلمة بن الاكوع رضي الله عنه،" ان النبي صلى الله عليه وسلم راى نيرانا توقد يوم خيبر، قال: على ما توقد هذه النيران؟ قالوا: على الحمر الإنسية، قال: اكسروها، واهرقوها، قالوا: الا نهريقها ونغسلها؟ قال: اغسلوا". قال ابو عبد الله: كان ابن ابي اويس، يقول: الحمر الانسية بنصب الالف والنون.
Hum se Abu Asim Dahhak Bin Makhlad ne bayan kiya, kaha hum se Yazid Bin Abi Ubaid ne aur un se Salama Bin Akwa (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Ghazwa-e-Khaibar ke moqa par dekha ke aag jalayi ja rahi hai, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne poocha ye aag kis liye jalayi ja rahi hai? Sahaba (Radi Allahu Anhum) ne arz kiya ke gadhe (ka gosht pakane) ke liye. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke wo bartan (jis mein gadhe ka gosht ho) tor do aur gosht phenk do. Is par Sahaba bole aisa kyun na kar lein ke gosht to phenk dein aur bartan dho lein. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke bartan dho lo. Abu Abdullah (Imam Bukhari Rahimahullah) kehte hain Ibn Abi Uwais "Al-Humur al-Insiya" ko alif aur noon ko nasab ke sath kaha karte thay
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 2478
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، حدثنا ابن ابي نجيح، عن مجاهد، عن ابي معمر، عن عبد الله بن مسعود رضي الله عنه، قال:" دخل النبي صلى الله عليه وسلم مكة وحول الكعبة ثلاث مائة وستون نصبا، فجعل يطعنها بعود في يده، وجعل يقول: جاء الحق وزهق الباطل سورة الإسراء آية 81" الآية.
Hum se Ali Bin Abdullah ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sufyan ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibn Abi Najih ne bayan kiya, un se Mujahid ne bayan kiya, un se Abu Maamar ne bayan kiya, aur un se Abdullah Bin Masood (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) (Fatah Makkah din jab) Makkah mein dakhil hue to Khana Kaabah ke charon taraf teen so sath but thay. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke hath mein ek chari thi jis se Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) in buton par marne lage aur farmane lage ke "Jaa-al-Haqqu wa zahaqal-batilu" "Haq aa gaya aur baatil mit gaya"
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 2479
حدثنا إبراهيم بن المنذر، حدثنا انس بن عياض، عن عبيد الله بن عمر، عن عبد الرحمن بن القاسم، عن ابيه القاسم، عن عائشة رضي الله عنها،" انها كانت اتخذت على سهوة لها سترا فيه تماثيل، فهتكه النبي صلى الله عليه وسلم، فاتخذت منه نمرقتين، فكانتا في البيت يجلس عليهما".
Hum se Ibrahim Bin Al-Munzir ne bayan kiya, kaha hum se Anas Bin Iyaz ne bayan kiya, un se Ubaidullah Umri ne, un se Abdur Rahman Bin Qasim ne, un se un ke walid Qasim ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne ke unhon ne apne hujre ke saiban par ek parda latka diya jis mein tasveerein bani hui theen. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne (jab dekha to) use utar kar phaara dala. (Aisha Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke) phir mein ne is parde se do gadde bana dale. Wo donon gadde ghar mein rehte thay aur Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) un par baitha karte thay
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain