الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب فضائل الصحابة
Kitab: Nabi (S.A.W) ke ashab ki fazeelat
باب مناقب سعد بن أبى وقاص الزهري
Bab: Sa’d bin Abi Waqqas az-Zuhri Radiallahu Anhu ke fazail ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 3727
حدثني إبراهيم بن موسى، اخبرنا ابن ابي زائدة، حدثنا هاشم بن هاشم بن عتبة بن ابي وقاص، قال: سمعت سعيد بن المسيب، يقول: سمعت سعد بن ابي وقاص، يقول: ما اسلم احد إلا في اليوم الذي اسلمت فيه ولقد مكثت سبعة ايام وإني لثلث الإسلام". تابعه ابو اسامة ,حدثنا هاشم.
Hum se Ibrahim bin Musa ne bayan kiya, kaha hum ko Ibn Abi Zaidah ne khabar di, kaha hum se Hashim bin Hashim bin Utbah bin Abi Waqqas ne bayan kiya, kaha ke mein ne Sa'id bin al-Musayyib se suna, kaha ke mein ne Sa'd bin Abi Waqqas se suna, unhon ne kaha ke jis din mein Islam laya, isi din doosre (sab se pehle Islam mein dakhil hone wale hazrat Sahaba) bhi Islam mein dakhil hue hain aur mein saat din tak isi tour par raha ke mein Islam ka teesra fard tha. Ibn Abi Zaidah ke sath is hadeeth ko Abu Usama ne bhi riwayat kiya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3726
حدثنا مكي بن إبراهيم، حدثنا هاشم بن هاشم، عن عامر بن سعد، عن ابيه، قال:" لقد رايتني وانا ثلث الإسلام".
Hum se Makki bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha hum se Hashim bin Hashim ne bayan kiya, in se Aamir bin Sa'd ne aur in se in ke walid (Sa'd bin Abi Waqqas Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mujhe khoob yaad hai. Mein ne ek zamane mein Musalmanon ka teesra hissa apne aap ko dekha. Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha Islam ke teesre hisse se yeh murad hai ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ke sath sirf teen Musalman thay jin mein teesra Musalman mein tha.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة