الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب فَضَائِلِ الصحابة
The Virtues and Merits of The Companions of The Prophet
بَابُ مَنَاقِبُ سَعْدِ بْنِ أَبِي وَقَّاصٍ الزُّهْرِيِّ
Chapter. The merits of Sad bin Abi Waqqas Az-Zuhri.
Show diacritics
Hadith Number: Q3725
وبنو زهرة اخوال النبي صلى الله عليه وسلم وهو سعد بن مالك:
Banu Zuhrah Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ke mamu thay, in ka asal naam Sa'd bin Abi Malik hai.


Show diacritics
Hadith Number: 3725
حدثني محمد بن المثنى، حدثنا عبد الوهاب، قال: سمعت يحيى، قال: سمعت سعيد بن المسيب، قال: سمعت سعدا، يقول:" جمع لي النبي صلى الله عليه وسلم ابويه يوم احد".
Mujh se Muhammad bin Muthanna ne bayan kiya, kaha hum se Abdul Wahhab ne bayan kiya, kaha ke mein ne Yahya se suna, kaha ke mein ne Sa'id bin al-Musayyib se suna, kaha ke mein ne Sa'd bin Abi Waqqas Radi Allahu Anhu se suna woh bayan karte thay ke Jang-e-Uhud ke mauqay par mere liye Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apne walidain ko ek sath jama kar ke yun farmaya ke mere maan baap tum par fida hon.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 3726
حدثنا مكي بن إبراهيم، حدثنا هاشم بن هاشم، عن عامر بن سعد، عن ابيه، قال:" لقد رايتني وانا ثلث الإسلام".
Hum se Makki bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha hum se Hashim bin Hashim ne bayan kiya, in se Aamir bin Sa'd ne aur in se in ke walid (Sa'd bin Abi Waqqas Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mujhe khoob yaad hai. Mein ne ek zamane mein Musalmanon ka teesra hissa apne aap ko dekha. Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha Islam ke teesre hisse se yeh murad hai ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ke sath sirf teen Musalman thay jin mein teesra Musalman mein tha.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 3727
حدثني إبراهيم بن موسى، اخبرنا ابن ابي زائدة، حدثنا هاشم بن هاشم بن عتبة بن ابي وقاص، قال: سمعت سعيد بن المسيب، يقول: سمعت سعد بن ابي وقاص، يقول: ما اسلم احد إلا في اليوم الذي اسلمت فيه ولقد مكثت سبعة ايام وإني لثلث الإسلام". تابعه ابو اسامة ,حدثنا هاشم.
Hum se Ibrahim bin Musa ne bayan kiya, kaha hum ko Ibn Abi Zaidah ne khabar di, kaha hum se Hashim bin Hashim bin Utbah bin Abi Waqqas ne bayan kiya, kaha ke mein ne Sa'id bin al-Musayyib se suna, kaha ke mein ne Sa'd bin Abi Waqqas se suna, unhon ne kaha ke jis din mein Islam laya, isi din doosre (sab se pehle Islam mein dakhil hone wale hazrat Sahaba) bhi Islam mein dakhil hue hain aur mein saat din tak isi tour par raha ke mein Islam ka teesra fard tha. Ibn Abi Zaidah ke sath is hadeeth ko Abu Usama ne bhi riwayat kiya.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 3728
حدثنا عمرو بن عون، حدثنا خالد بن عبد الله، عن إسماعيل، عن قيس، قال: سمعت سعدا رضي الله عنه، يقول:" إني لاول العرب رمى بسهم في سبيل الله , وكنا نغزو مع النبي صلى الله عليه وسلم وما لنا طعام إلا ورق الشجر حتى إن احدنا ليضع كما يضع البعير او الشاة ما له خلط، ثم اصبحت بنو اسد تعزرني على الإسلام لقد خبت إذا وضل عملي" , وكانوا وشوا به إلى عمر , قالوا: لا يحسن يصلي.
Hum se Hashim ne bayan kiya, kaha hum se Amr bin Awn ne bayan kiya, kaha hum se Khalid bin Abdullah ne bayan kiya, in se Ismail ne, in se Qais ne bayan kiya ke mein ne Sa'd bin Abi Waqqas Radi Allahu Anhu se suna, woh bayan karte thay ke Arab mein sab se pehle Allah ke raste mein, mein ne teer andazi ki thi (ibtida-e-Islam mein) hum Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam, ke sath is tarah ghazwat mein shirkat karte thay ke hamare pas darakht ke patton ke siwa khane ke liye kuch bhi na hota tha, is se humein ont aur bakriyon ki tarah ijabat hoti thi. Yani mili hui nahi hoti thi. Lekin ab Bani Asad ka yeh haal hai ke Islami ahkam par amal mein mere andar aib nikalte hain (agar) aisa ho to mein bilkul mehroom aur be-naseeb hi raha aur mere sab kaam barbad ho gaye. Hua yeh tha ke Bani Asad ne Umar Radi Allahu Anhu se Sa'd Radi Allahu Anhu ki chughli khayi thi. Yeh kaha tha ke woh acchi tarah namaz bhi nahi parhte.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain