الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب فضائل الصحابة
Kitab: Nabi (S.A.W) ke ashab ki fazeelat
باب مناقب جعفر بن أبى طالب:
Bab: Ja’far bin Abi Talib Hashimi Radiallahu Anhu ki fazilat ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 3709
حدثني عمرو بن علي، حدثنا يزيد بن هارون، اخبرنا إسماعيل بن ابي خالد، عن الشعبي، ان ابن عمر رضي الله عنهما كان إذا سلم على ابن جعفر، قال:" السلام عليك يا ابن ذي الجناحين".
Hum se Amr bin Ali ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Yazid bin Haroon ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ismail bin Abi Khalid ne bayan kiya, unhein Shabi ne khabar di ke jab Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma Ja'far Radi Allahu Anhu ke sahib-zade ko salam karte to yun kiya karte "assalamu alaika ya ibna dhi al-janahain." Ae do paron wale buzurg ke sahib-zade tum par salam ho. Abu Abdullah Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha hadeeth mein jo "janahain" ka lafz hai is se murad do goshe (kone) hain.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4264
حدثني محمد بن ابي بكر، حدثنا عمر بن علي، عن إسماعيل بن ابي خالد، عن عامر، قال:" كان ابن عمر إذا حيا ابن جعفر قال: السلام عليك يا ابن ذي الجناحين".
Mujh se Muhammad Bin Abi Bakr ne bayan kiya ‘ kaha hum se Umar Bin Ali ne bayan kiya ‘ in se Ismail Bin Abi Khalid ne bayan kiya ‘ in se Amir Shabi ne bayan kiya ke Ibn Umar Radi Allahu Anhuma jab Jafar Bin Abi Talib Radi Allahu Anhu ke bete ke liye salam bhejte to Assalamu Alaika Ya Ibn Zi-ul-Janahain kehte
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة