الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المناقب
Kitab: Fazeelaton ke bayan mein
باب علامات النبوة فى الإسلام:
Bab: Nabi Karim ﷺ ke mu’jizaat yani nubuwwat ki nishaniyon ka bayan.
Hadith Number: 3587
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، حدثنا ابو الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا تقوم الساعة حتى تقاتلوا قوما نعالهم الشعر وحتى تقاتلوا الترك صغار الاعين حمر الوجوه ذلف الانوف كان وجوههم المجان المطرقة".
Hum se Abu al-Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuaib ne khabar di, kaha hum se Abu al-Zinad ne bayan kiya un se A'raj ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Qiyamat is waqt tak nahi qaim hogi jab tak tum ek aisi qoum ke sath jang na kar lo jin ke joote baal ke hon aur jab tak tum Turkon se jang na kar lo, jin ki aankhein chhoti hongi, chehre surkh honge, naak chhoti aur chapti hogi, chehre aise honge jaise teh-ba-teh dhaal hoti hai."
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2928
حدثنا سعيد بن محمد، حدثنا يعقوب، حدثنا ابي، عن صالح، عن الاعرج، قال: قال ابو هريرة رضي الله عنه، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لا تقوم الساعة حتى تقاتلوا الترك صغار الاعين حمر الوجوه ذلف الانوف، كان وجوههم المجان المطرقة، ولا تقوم الساعة حتى تقاتلوا قوما نعالهم الشعر".
Hum se Saeed Bin Muhammad ne bayan kiya, kaha hum se Yaqub Bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha mujh se mere baap Ibrahim Bin Saad ne bayan kiya, un se Salih Bin Kaisan ne, un se Aaraj ne bayan kiya aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Qayamat us waqt tak qaim nahi hogi jab tak tum Turkon se jung na kar lo ge, jin ki aankhein chhoti hongi, chehre surkh honge, naak moti phaili hui hogi, un ke chehre aise honge jaise teh-band chamra lagi hui hoti hai aur qayamat us waqt tak qaim na hogi jab tak tum ek aaisi qaum se jung na kar lo ge jin ke joote baal ke bane hue honge."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة