الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْجِهَادِ وَالسِّيَرِ
The Book of Jihad (Fighting For Allah’S Cause)
بَابُ قِتَالِ التُّرْكِ:
Chapter. Fighting against the Turks.
Show diacritics
Hadith Number: 2927
حدثنا ابو النعمان، حدثنا جرير بن حازم، قال: سمعت الحسن، يقول: حدثنا عمرو بن تغلب، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إن من اشراط الساعة ان تقاتلوا قوما ينتعلون نعال الشعر، وإن من اشراط الساعة ان تقاتلوا قوما عراض الوجوه، كان وجوههم المجان المطرقة".
Hum se Abul Numan ne bayan kiya, un se Jarir Bin Hazim ne bayan kiya, kaha mein ne Hasan se suna, unhon ne kaha ke hum se Amr Bin Taghlib (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya, kaha ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke qayamat ki nishaniyon mein se hai ke tum aaisi qaum se jung karo ge jo balon ki jootiyan pehne honge (ya un ke baal bahut lambe honge) aur qayamat ki ek nishani ye hai ke in logon se laro ge jin ke munh chore chore honge goya dhaalein hain chamra jami hui (yani bahut mote munh wale honge)
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 2928
حدثنا سعيد بن محمد، حدثنا يعقوب، حدثنا ابي، عن صالح، عن الاعرج، قال: قال ابو هريرة رضي الله عنه، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لا تقوم الساعة حتى تقاتلوا الترك صغار الاعين حمر الوجوه ذلف الانوف، كان وجوههم المجان المطرقة، ولا تقوم الساعة حتى تقاتلوا قوما نعالهم الشعر".
Hum se Saeed Bin Muhammad ne bayan kiya, kaha hum se Yaqub Bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha mujh se mere baap Ibrahim Bin Saad ne bayan kiya, un se Salih Bin Kaisan ne, un se Aaraj ne bayan kiya aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Qayamat us waqt tak qaim nahi hogi jab tak tum Turkon se jung na kar lo ge, jin ki aankhein chhoti hongi, chehre surkh honge, naak moti phaili hui hogi, un ke chehre aise honge jaise teh-band chamra lagi hui hoti hai aur qayamat us waqt tak qaim na hogi jab tak tum ek aaisi qaum se jung na kar lo ge jin ke joote baal ke bane hue honge."
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain