الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المناقب
Kitab: Fazeelaton ke bayan mein
باب قصة الحبش:
Bab: Habshah ke logon ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 3529
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن عروة، عن عائشة، ان ابا بكر رضي الله عنه" دخل عليها وعندها جاريتان في ايام منى تغنيان وتدففان وتضربان، والنبي صلى الله عليه وسلم متغش بثوبه فانتهرهما ابو بكر فكشف النبي صلى الله عليه وسلم عن وجهه، فقال: دعهما يا ابا بكر فإنها ايام عيد وتلك الايام ايام منى.
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, kaha hum se Laith ne bayan kiya, un se Aqeel ne, un se Ibn Shihab ne, un se Urwah ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne ke Abu Bakr (Radi Allahu Anhu) in ke yahan tashreef laye to wahan (Ansar ki) do larkiyan duf baja kar ga rahi thien. Ye Hajj ke ayyam-e-Mina ka waqia hai. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ruy-e-mubarak par kapra dale hue lete hue thay. Abu Bakr (Radi Allahu Anhu) ne unhein danta to Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne apne chehra mubarak se kapra hata kar farmaya "Abu Bakr! Unhein chor do, ye Eid ke din hain, ye Mina mein thehrne ke din thay
."


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 454
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، قال: حدثنا إبراهيم بن سعد، عن صالح، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عروة بن الزبير، ان عائشة، قالت:" لقد رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم يوما على باب حجرتي والحبشة يلعبون في المسجد، ورسول الله صلى الله عليه وسلم يسترني بردائه، انظر إلى لعبهم".
Hum se Abdul Aziz bin Abdullah ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Ibrahim bin Saad ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Saleh bin Kaisan ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Ibn Shihab ne bayan kiya , unhon ne kaha ke mujhe Urwah bin Zubair ne khabar di ke Aisha raziyallahu anha ne kaha mein ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ko ek din apne hijra ke darwaze par dekha . Is waqt Habsha ke kuch log masjid mein neezo se khel rahe thay hathiyar chalane ki mashq kar rahe thay Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne mujhe apni chadar mein chhupa liya taake mein un ka khel dekh sakun .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة