الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المناقب
Kitab: Fazeelaton ke bayan mein
باب مناقب قريش:
Bab: Quraish ki fazilat ka bayan.
Hadith Number: 3502
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن ابن المسيب، عن جبير بن مطعم، قال: مشيت انا وعثمان بن عفان، فقال: يا رسول الله، اعطيت بني المطلب وتركتنا وإنما نحن وهم منك بمنزلة واحدة، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" إنما بنو هاشم وبنو المطلب شيء واحد"
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, kaha hum se Laith Bin Saad ne bayan kiya, un se Aqeel ne, un se Ibn Shihab ne, un se Ibn Musayyib ne aur un se Jubair Bin Mut-im ne bayan kiya ke mein aur Usman Bin Affan (Radi Allahu Anhuma) dono mil kar Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke pas gaye aur hum ne arz kiya: Ya Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)! Banu Muttalib ko to aap ne ata farmaya aur humein (Bani Umayyah ko) nazar andaz kar diya halanke aap ke liye hum aur wo ek hi darje ke hain. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya " (Ye sahih hai) magar Banu Hashim aur Banu Muttalib ek hi hain
."
."
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3140
حدثنا عبد الله بن يوسف، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن ابن المسيب، عن جبير بن مطعم، قال: مشيت انا وعثمان بن عفان إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقلنا: يا رسول الله، اعطيت بني المطلب وتركتنا ونحن وهم منك بمنزلة واحدة، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إنما بنو المطلب وبنو هاشم شيء واحد، قال الليث: حدثني يونس وزاد، قال جبير: ولم يقسم النبي صلى الله عليه وسلم لبني عبد شمس ولا لبني نوفل، وقال ابن إسحاق: عبد شمس وهاشم والمطلب إخوة لام وامهم عاتكة بنت مرة وكان نوفل اخاهم لابيهم".
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Laith ne bayan kiya, un se Aqeel ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, un se Ibn Musayyab ne bayan kiya aur un se Jubair Bin Mut'im (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mein aur Usman Bin Affan (Radi Allahu Anhu) Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir hue aur arz kiya, Ya Rasul Allah! Aap ne Banu Muttalib ko to inayait farmaya lekin hum ko chhod diya, halanke hum ko Aap se wahi rishta hai jo Banu Muttalib ko Aap se hai. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke Banu Muttalib aur Banu Hashim ek hi hai. Laith ne bayan kiya ke mujh se Yunus ne bayan kiya aur (is riwayat mein) ye ziyadati ki ke Jubair (Radi Allahu Anhu) ne kaha Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Banu Abd-e-Shams aur Banu Naufal ko nahi diya tha, aur Ibn Ishaq (Sahib-e-Maghazi) ne kaha hai ke Abd-e-Shams, Hashim aur Muttalib ek maan se thay aur un ki maan ka naam Aatika Bin Murra tha aur Naufal baap ki taraf se un ke bhai thay (un ki maan doosri theen)
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة