الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المناقب
Kitab: Fazeelaton ke bayan mein
باب قول الله تعالى: {يا أيها الناس إنا خلقناكم من ذكر وأنثى وجعلناكم شعوبا وقبائل لتعارفوا إن أكرمكم عند الله أتقاكم} :
Bab: Allah Taala ka (Surah Al-Hujurat mein) irshad“Ay logo! Hum ne tum sab ko ek hi mard Adam aur ek hi aurat Hawwa se paida kiya hai aur tum ko mukhtalif qaumein aur khandanan bana diya hai taake tum butaur rishta-dari ek doosre ko pehchaan sako, beshak tum sab mein se Allah ke nazdeek mu’azzaz-tar woh hai jo zyada parhezgaar ho”.
Show diacritics
Hadith Number: 3496
والناس معادن خيارهم في الجاهلية خيارهم في الإسلام إذا فقهوا تجدون من خير الناس اشد الناس كراهية لهذا الشان حتى يقع فيه".
Aur insanon ki misal kaan ki tarah hai, jo log Jahilliyat ke dour mein shareef thay wo Islam lane ke baad bhi shareef hain jab ke unhon ne deen ki samajh bhi hasil ki ho tum dekho ge ke behtareen aur layak wohi sabit hon ge jo khilafat-o-imarat ke ohde ko bahut zyada napasand karte rahe hon, yahan tak ke wo is mein giriftar ho jayein
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3493
حدثني إسحاق بن إبراهيم، اخبرنا جرير، عن عمارة، عن ابي زرعة، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" تجدون الناس معادن خيارهم في الجاهلية خيارهم في الإسلام، إذا فقهوا وتجدون خير الناس في هذا الشان اشدهم له كراهية".
Hum se Ishaq Bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha hum ko Jarir ne khabar di, unhein Amarah ne, unhein Abu Zurah ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Tum insanon ko kaan ki tarah pao ge (bhalayi aur burayi mein) jo log Jahilliyat ke zamane mein behtar aur acchi sifat ke malik thay wo Islam lane ke baad bhi behtar aur acchi sifat wale hain bashart-e-ke wo deen ka ilm bhi hasil karein aur hukoomat aur sardari ke layak is ko pao ge jo hukoomat aur sardari ko bahut napasand karta ho
."


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة