الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المناقب
Kitab: Fazeelaton ke bayan mein
باب قول الله تعالى: {يا أيها الناس إنا خلقناكم من ذكر وأنثى وجعلناكم شعوبا وقبائل لتعارفوا إن أكرمكم عند الله أتقاكم} :
Bab: Allah Taala ka (Surah Al-Hujurat mein) irshad“Ay logo! Hum ne tum sab ko ek hi mard Adam aur ek hi aurat Hawwa se paida kiya hai aur tum ko mukhtalif qaumein aur khandanan bana diya hai taake tum butaur rishta-dari ek doosre ko pehchaan sako, beshak tum sab mein se Allah ke nazdeek mu’azzaz-tar woh hai jo zyada parhezgaar ho”.
Show diacritics
Hadith Number: 3491
حدثنا قيس بن حفص، حدثنا عبد الواحد، حدثنا كليب بن وائل، قال: حدثتني ربيبة النبي صلى الله عليه وسلم زينب ابنة ابي سلمة، قال: قلت لها:" ارايت النبي صلى الله عليه وسلم اكان من مضر؟، قالت: فممن كان إلا من مضر من بني النضر بن كنانة".
Hum se Qais Bin Hafs ne bayan kiya, kaha hum se Abdul Wahid Bin Ziyad ne bayan kiya, un se Kulaib Bin Wail ne bayan kiya, kaha ke mujh se Zainab Bint-e-Abi Salamah (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya jo Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki zir-e-parwarish reh chuki thien, Kulaib ne bayan kiya ke humein ne Zainab se poocha ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka talluq qabila Muzar se tha? Unhon ne kaha phir kis qabila se tha? Yaqeenan Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) qabila Muzar ki shakh Bani Nazr Bin Kinanah ki aulad mein se thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3492
حدثنا موسى، حدثنا عبد الواحد، حدثنا كليب، حدثتني ربيبة النبي صلى الله عليه وسلم واظنها زينب، قالت: نهى رسول الله صلى الله عليه وسلم" عن الدباء والحنتم والمقير والمزفت، وقلت لها: اخبريني النبي صلى الله عليه وسلم ممن كان من مضر كان، قالت: فممن كان إلا من مضر كان من ولد النضر بن كنانة".
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, un se Abdul Wahid ne, kaha hum se Kulaib ne bayan kiya, aur un se rabeeb-e-Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne, mera khayal hai ke un se murad Zainab Bint-e-Abi Salamah (Radi Allahu Anha) hain, unhon ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne dubba, hantam, naqeer aur muzaffat ke istemal se mana farmaya tha aur mein ne un se poocha tha ke aap mujhe batayein ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka talluq kis qabila se tha? Kya waqai aap ka talluq qabila Muzar se tha? Unhon ne kaha phir aur kis se ho sakta hai yaqeenan Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka talluq isi qabila se tha. Aap Nazr Bani Bin Kinanah ki aulad mein se thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة