الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب أحاديث الأنبياء
Kitab: Anbiya Alaihim-us-Salam ke bayan mein
باب:
Bab: …
Show diacritics
Hadith Number: 3488
حدثنا آدم حدثنا شعبة حدثنا عمرو بن مرة سمعت سعيد بن المسيب قال قدم معاوية بن ابي سفيان المدينة آخر قدمة قدمها، فخطبنا فاخرج كبة من شعر فقال ما كنت ارى ان احدا يفعل هذا غير اليهود، وإن النبي صلى الله عليه وسلم سماه الزور- يعني الوصال في الشعر. تابعه غندر عن شعبة.
Hum se Adam Bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya un se Amr Bin Murrah ne kaha ke mein ne Saeed Bin Musayyib se suna aap ne bayan kiya ke Muawiyah Bin Abi Sufyan (Radi Allahu Anhu) ne Madinah ke apne aakhri safar mein humein khitab farmaya aur (khutba ke douran) aap ne balon ka ek guccha nikala aur farmaya, mein samajhta hoon ke Yahoodiyon ke siwa aur koi is tarah na karta hoga aur Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne is tarah baal sanwarne ka naam «al-zooru» (fareb-o-jhoot) rakkha hai. Aap ki murad «wisalun fish shari» se thi. Yani balon mein jor lagane se thi (jaise aksar auratein masnooyi balon mein jor kiya karti hain) Adam ke sath is hadees ko Ghundar ne bhi Shuba se riwayat kiya hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3468
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن ابن شهاب، عن حميد بن عبد الرحمن، انه سمع معاوية بن ابي سفيان عام حج على المنبر فتناول قصة من شعر وكانت في يدي حرسي، فقال: يا اهل المدينة اين علماؤكم سمعت النبي صلى الله عليه وسلم" ينهى عن مثل هذه، ويقول: إنما هلكت بنو إسرائيل حين اتخذها نساؤهم".
Hum se Abdullah Bin Maslamah ne bayan kiya, kaha hum se Imam Malik ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne, un se Humaid Bin Abdur Rahman ne aur unhon ne Muawiyah Bin Abi Sufyan (Radi Allahu Anhuma) se suna ek saal jab wo Hajj ke liye gaye hue thay to minbar-e-Nabwi par kharay ho kar unhon ne peshani ke balon ka ek kuccha liya jo un ke chokidar ke hath mein tha aur farmaya: Ae Madinah walon! Tumhare ulama kidhar gaye mein ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna hai. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne is tarah (baal jorne ki) mamanat farmayi thi aur farmaya tha ke Bani Israel par barbadi is waqt aayi jab (shariat ke khilaf) un ki auraton ne is tarah baal sanwarne shuru kar diye thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة