الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب أحاديث الأنبياء
Kitab: Anbiya Alaihim-us-Salam ke bayan mein
باب:
Bab: …
Show diacritics
Hadith Number: 3476
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا عبد الملك بن ميسرة، قال: سمعت النزال بن سبرة الهلالي، عن ابن مسعود رضي الله عنه، قال: سمعت رجلا قرا آية، وسمعت النبي صلى الله عليه وسلم يقرا خلافها فجئت به النبي صلى الله عليه وسلم فاخبرته فعرفت في وجهه الكراهية، وقال:" كلاكما محسن ولا تختلفوا فإن من كان قبلكم اختلفوا فهلكوا".
Hum se Adam Bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, kaha hum se Abdul Malik Bin Maisarah ne bayan kiya, kaha ke mein ne Nazzal Bin Sabrah Hilali se suna aur un se Abdullah Bin Masood (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mein ne ek sahabi (Amr Bin Al-Aas) ko Quran Majeed ki ek aayat parhte suna. Wohi aayat Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se is ke khilaf qiraat ke sath mein sun chuka tha, is liye mein unhein sath le kar Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir hua aur Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se ye waqia bayan kiya lekin mein ne Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke chehra mubarak par is ki wajah se narazgi ke aasar dekhe. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya tum dono accha parhte ho. Aapas mein ikhtilaf na kiya karo. Tum se pehle log isi qism ke jhagron se tabah ho gaye
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2410
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، قال عبد الملك بن ميسرة: اخبرني، قال: سمعت النزال بن سبرة، قال: سمعت عبد الله، يقول:"سمعت رجلا قرا آية سمعت من النبي صلى الله عليه وسلم خلافها، فاخذت بيده، فاتيت به رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال: كلاكما محسن". قال شعبة: اظنه قال: لا تختلفوا، فإن من كان قبلكم اختلفوا فهلكوا.
Hum se Abul Waleed ne bayan kiya, kaha ke hum se Shuba ne bayan kiya ke Abdul Malik Bin Maisarah ne mujhe khabar di kaha ke mein ne Nazzal Bin Sabrah se suna, aur unhon ne Abdullah Bin Masood (Radi Allahu Anhu) se suna, unhon ne kaha ke mein ne ek shakhs ko Quran ki ayat is tarah parhte suna ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se mein ne is ke khilaf suna tha. Is liye mein in ka hath thame Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein lay gaya. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne (mera aitraz sun kar) farmaya ke tum donon durust ho. Shuba ne bayan kiya ke mein samajhta hoon ke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ye bhi farmaya ke ikhtilaf na karo, kyunke tum se pehle log ikhtilaf hi ki wajah se tabah ho gaye
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5062
حدثنا سليمان بن حرب حدثنا شعبة عن عبد الملك بن ميسرة عن النزال بن سبرة عن عبد الله انه سمع رجلا يقرا آية سمع النبي صلى الله عليه وسلم خلافها فاخذت بيده فانطلقت به إلى النبي صلى الله عليه وسلم فقال:" كلاكما محسن فاقرءا اكبر علمي قال: فإن من كان قبلكم اختلفوا فاهلكهم".
Hum se Sulayman bin Harb ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne , un se Abdul Malik bin Maysarah ne , un se Nazzal bin Sabrah ne ke Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne ek sahab (Ubayy bin Kabb razi Allahu anhu) ko ek aayat parhte suna , wahi aayat unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se is ke khilaf suni ku . (Ibn Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke) phir main ne un ka hath pakra aur unhein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein laya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum donon sahih ho (is liye apne apne taur par parho .) (Shubah kehte hain ke) mera ghalib guman yeh hai ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne yeh bhi farmaya ke (ikhtilaf o niza na kiya karo) kyunke tum se pehle ki ummaton ne ikhtilaf kiya aur isi wajah se Allah Ta'ala ne unhein halak kar diya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة