الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب أحاديث الأنبياء
Kitab: Anbiya Alaihim-us-Salam ke bayan mein
باب ما ذكر عن بني إسرائيل:
Bab: Bani Isra’il ke waqiaat ka bayan.
Hadith Number: 3451
قال: حذيفة وسمعته، يقول: إن رجلا كان فيمن كان قبلكم اتاه الملك ليقبض روحه، فقيل له: هل عملت من خير، قال: ما اعلم قيل له انظر، قال: ما اعلم شيئا غير اني كنت ابايع الناس في الدنيا واجازيهم فانظر الموسر واتجاوز عن المعسر فادخله الله الجنة.
Huzaifah (Radi Allahu Anhu) ne farmaya ke mein ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko ye farmate suna tha ke pehle zamane mein ek shakhs ke pas Malik-ul-Mout un ki rooh qabz karne aaye to un se poocha gaya koi apni naiki tumhein yaad hai? Unhon ne kaha ke mujhe to yaad nahi parti. Un se dobara kaha gaya ke yaad karo! Unhon ne kaha ke mujhe koi apni naiki yaad nahi siwa is ke ke mein duniya mein logon ke sath khareed-o-farokht kiya karta tha aur lain dain kiya karta tha jo log khush-haal hote unhein to mein (apna qarz wasool karte waqt) muhlat diya karta tha aur tang hath walon ko maaf kar diya karta tha. Allah Ta'ala ne unhein isi par jannat mein dakhil kiya
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2077
حدثنا احمد بن يونس، حدثنا زهير، حدثنا منصور، ان ربعي بن حراش حدثه، ان حذيفة رضي الله عنه حدثه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" تلقت الملائكة روح رجل ممن كان قبلكم، قالوا: اعملت من الخير شيئا؟ قال: كنت آمر فتياني ان ينظروا ويتجاوزوا عن الموسر، قال: قال: فتجاوزوا عنه، قال ابو عبد الله: وقال ابو مالك: عن ربعي: كنت ايسر على الموسر وانظر المعسر، وتابعه شعبة، عن عبد الملك، عن ربعي، وقال ابو عوانة: عن عبد الملك، عن ربعي انظر الموسر واتجاوز عن المعسر، وقال نعيم بن ابي هند: عن ربعي، فاقبل من الموسر واتجاوز عن المعسر.
Hum se Ahmad Bin Yunus ne bayan kiya, kaha ke hum se Zuhair ne bayan kiya kaha ke hum se Mansoor ne, un se Rabee Bin Hirash ne bayan kiya aur un se Hudhaifa Bin Yaman (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, tum se pehle guzashta ummaton ke kisi shakhs ki rooh ke paas (maut ke waqt) farishte aaye aur poocha ke tu ne kuch acche kaam bhi kiye hain ? Rooh ne jawab diya ke mein apne naukaron se kaha karta tha ke wo maldar logon ko (jo un ke maqrooz hon) muhlat de diya karein aur un par sakhti na karein. Aur muhtajon ko maaf kar diya karein. Rawi ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, phir farishton ne bhi is se dar-guzar kiya aur sakhti nahi ki aur Abu Malik ne Rabee se (apni riwayat mein ye alfaz) bayan kiye hain ”khate kamate ke sath (apna haqq lete waqt) narm mamla karta tha aur tang haal maqrooz ko muhlat deta tha. Is ki mutabiat Shuba ne ki hai. Un se Abdul Malik ne aur un se Rabee ne bayan kiya, Abu Awanah ne kaha ke un se Abdul Malik ne Rabee se bayan kiya ke (is rooh ne ye alfaz kahe thay) mein khate kamate ko muhlat de deta tha aur tang haal wale maqrooz se dar-guzar karta tha aur Nuaim Bin Abi Hind ne bayan kiya, un se Rabee ne (ke rooh ne ye alfaz kahe thay) mein khate kamate logon ke (jin par mera koi haqq wajib hota) uzr qabool kar liya karta tha aur tang haal wale se dar-guzar kar deta tha
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة