الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب أحاديث الأنبياء
Kitab: Anbiya Alaihim-us-Salam ke bayan mein
باب: {واذكر فى الكتاب مريم إذ انتبذت من أهلها} :
Bab: Allah Taala ne (Surah Maryam mein) farmaya“(Is) kitab mein Maryam ka zikr kar jab woh apne ghar walon se alag ho kar ek poorab rukh makaan mein chali gayee”.
Show diacritics
Hadith Number: 3443
حدثنا محمد بن سنان، حدثنا فليح بن سليمان، حدثنا هلال بن علي، عن عبد الرحمن بن ابي عمرة، عن ابي هريرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" انا اولى الناس بعيسى ابن مريم في الدنيا والآخرة والانبياء إخوة لعلات امهاتهم شتى ودينهم واحد". وقال إبراهيم بن طهمان، عن موسى بن عقبة، عن صفوان بن سليم، عن عطاء بن يسار، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم.
Hum se Muhammad Bin Sinan ne bayan kiya kaha hum se Fulaih Bin Sulaiman ne bayan kiya kaha hum se Hilal Bin Ali ne bayan kiya un se Abdur Rahman Bin Abi Amrah ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Mein Isa Bin Maryam (Alaihimas Salam) se aur logon ki ba-nisbat zyada qareeb hoon duniya mein bhi aur aakhirat mein bhi aur anbiya (Alaihimus Salam) allati bhaiyon (ki tarah) hain. Un ke masail mein agarche ikhtilaf hai lekin deen sab ka ek hi hai." Aur Ibrahim Bin Tahman ne bayan kiya un se Musa Bin Uqbah ne un se Safwan Bin Sulaim ne un se Ata Bin Yasar ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3442
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني ابو سلمة بن عبد الرحمن، ان ابا هريرة رضي الله عنه، قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" انا اولى الناس بابن مريم والانبياء اولاد علات ليس بيني وبينه نبي".
Hum se Abu Al-Yaman ne bayan kiya kaha hum ko Shuaib ne khabar di un se Zuhri ne bayan kiya unhein Abu Salamah ne khabar di aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) farma rahe thay ke mein Ibn Maryam (Alaihimas Salam) se doosron ke muqabla mein zyada qareeb hoon anbiya allati bhaiyon ki tarah hain aur mere aur Isa (Alaihis Salam) ke darmiyan koi Nabi nahi hai


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة