الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب أحاديث الأنبياء
Kitab: Anbiya Alaihim-us-Salam ke bayan mein
باب: {واذكر عبدنا داود ذا الأيد إنه أواب} إلى قوله: {وفصل الخطاب} :
Bab: Allah Taala ka (Surah Saad mein) farman“Hamare zordaar bande Dawood ka zikr kar, woh Allah ki taraf rujoo hone wala tha”Allah Taala ke irshad «wa faslil khitaab» tak (yani faisla karne wali taqreer hum ne unhein ata ki thi).
Show diacritics
Hadith Number: 3421
حدثنا محمد، حدثنا سهل بن يوسف، قال: سمعت العوام، عن مجاهد، قال: قلت: لابن عباس اسجد في ص فقرا ومن ذريته داود وسليمان حتى اتى فبهداهم اقتده سورة الانعام آية 84 - 90 فقال: ابن عباس رضي الله عنهما نبيكم صلى الله عليه وسلم ممن امر ان يقتدي بهم.
Hum se Muhammad Bin Salam ne bayan kiya kaha hum se Sahl Bin Yusuf ne bayan kiya kaha mein ne Awwam se suna un se Mujahid ne bayan kiya ke mein ne Abbas (Radi Allahu Anhu) se poocha kya mein Surah Saad mein sajda kiya karoon? To unhon ne aayat «wa min zurriyyatihi dawooda wa sulaimana» tilawat ki «fabihudahumuqtadih» tak neez unhon ne kaha ke tumhare Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) in logon mein se thay jinhein Anbiya (Alaihimus Salam) ki iqtida ka hukam tha


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4632
حدثني إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام، ان ابن جريج اخبرهم، قال: اخبرني سليمان الاحول، ان مجاهدا اخبره، انه سال ابن عباس: افي ص سجدة؟ فقال: نعم، ثم تلا ووهبنا له إسحاق ويعقوب إلى قوله فبهداهم اقتده سورة الانعام آية 84 - 90، ثم قال: هو منهم، زاد يزيد بن هارون، ومحمد بن عبيد، وسهل بن يوسف، عن العوام، عن مجاهد، قلت لابن عباس: فقال نبيكم صلى الله عليه وسلم:" ممن امر ان يقتدي بهم".
Mujh se Ibrahim bin Musa ne byaan kiya , kaha hum ko Hisham bin Yusuf ne khabar di , unhein Ibn Jurayj ne khabar di , kaha ke mujhe Sulayman Ahwal ne khabar di , unhein Mujahid ne khabar di ke unhon ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se poocha kya Surah Sad mein sajda hai ? Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne batlaya , haan . Phir Aap ne aayat «wa wahabna» se ( «fabihuda-humuq-tadih») tak parhi aur kaha ke Dawood alaihissalam bhi in anbiya mein shamil hain (jin ka zikr aayat mein hua hai) . Yazid bin Haroon , Muhammad bin Ubayd aur Sahl bin Yusuf ne Awam bin Haushab se , un se Mujahid ne byaan kiya ke main ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se poocha , to unhon ne kaha tumhare Nabi bhi in mein se hain jinhein agle anbiya ki iqtida ka hukm diya gaya hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4806
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن العوام، قال:" سالت مجاهدا عن السجدة في ص؟ قال: سئل ابن عباس، فقال: اولئك الذين هدى الله فبهداهم اقتده سورة الانعام آية 90، وكان ابن عباس يسجد فيها.
Hum se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , kaha hum se Ghundar ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , un se Awam bin Haushab ne ke main ne Mujahid se Surah Sad mein sajda ke mutalliq poocha to unhon ne kaha ke yeh sawal Ibn Abbas razi Allahu anhuma se bhi kiya gaya tha to unhon ne is aayat ki tilawat ki «ula'ikallazhina hadallahu fabihuda-humuq-tadih» ”yahi woh log hain jinhein Allah ne hidayat di thi pas Aap bhi unhi ki hidayat ki ittiba karein .“ Aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma is mein sajda kiya karte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4807
حدثني محمد بن عبد الله، حدثنا محمد بن عبيد الطنافسي، عن العوام، قال:" سالت مجاهدا عن سجدة في ص؟ فقال: سالت ابن عباس من اين سجدت؟ فقال: او ما تقرا ومن ذريته داود وسليمان اولئك الذين هدى الله فبهداهم اقتده سورة الانعام آية 90، فكان داود ممن امر نبيكم صلى الله عليه وسلم ان يقتدي به، فسجدها داود عليه السلام، فسجدها رسول الله صلى الله عليه وسلم.
Mujh se Muhammad bin Abdullah Zhuhli ne byaan kiya , kaha hum se Muhammad bin Ubayd Tanafisi ne , un se Awam bin Haushab ne byaan kiya ke main ne Mujahid se Surah Sad mein sajda ke mutalliq poocha to unhon ne kaha ke main ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se poocha tha ke is surat mein aayat e sajda ke liye daleel kya hai ? Unhon ne kaha kya tum (Surah Anaam) mein yeh nahi parhte «wa min zhurriyyathi Dawooda wa Sulaymana» ke ”aur un ki nasl se Dawood aur Sulayman hain , yahi woh log hain jinhein Allah ne yeh hidayat di thi , so Aap bhi un ki hidayat ki ittiba karein .“ Dawood alaihissalam bhi un mein se thay jin ki ittiba ka Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko hukm tha (kyunke Dawood alaihissalam ke sajde ka is mein zikr hai is liye Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne bhi is mauqa par sajda kiya) . «ujaabun» ka maani ajeeb . «al-qittu» kehte hain kaghaz ke tukre (parche) ko yahan naikiyon ka parcha murad hai (ya hisab ka parcha) . Aur Mujahid rahmahullah ne kaha «fee izzatin» ka maani yeh hai ke woh shararat o sarkashi karne wale hain . «al-millat-ul-aakhiratu» se murad Quraysh ka deen hai . «ikhtilaaqun» se murad jhoot . «al-asbaabu» aasman ke raste , darwaze murad hain . «jundum ma hunaalika mahzoomun» al-aayat se Quraysh ke log murad hain . «ula'ikal ahzaabu» se agli ummatein murad hain . Jin par Allah ka azab utra . «fawaaqun» ka maani phirna , lautna . «ajjil lana qittana» mein «qittu» se azab murad hai . «ittakhazh-naahum sikhriyyan» hum ne unhein thatthe mein gher liya tha . «atraabun» jorr wale . Aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «aydun» ka maani ibadat ki quwwat . «al-absaaru» Allah ke kaamon ko ghaur se dekhne wale . «hubbal khayri an zhikri rabbi» mein «an min» ke maani mein hai . «tafiqa mashan» ghoron ke paon aur ayaal par mohabbat se hath pherna shuru kiya . Ya ba-qaul e baaz talwar se un ko kaatne lage . «al-asfaadu» ke maani zanjeerein .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة