الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب التيمم
Kitab: Tayammum ke ahkam o masail
باب التيمم للوجه والكفين:
Bab: Is bare mein ke tayammum mein sirf munh aur dono paunchon par masah karna kaafi hai.
Show diacritics
Hadith Number: 341
حدثنا محمد بن كثير، اخبرنا شعبة، عن الحكم، عن ذر، عن ابن عبد الرحمن بن ابزى، عن عبد الرحمن بن ابزى، قال: قال عمار لعمر: تمعكت فاتيت النبي صلى الله عليه وسلم، فقال:" يكفيك الوجه والكفان".
Hum se Muhammad bin Kaseer ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne Hakam se, woh Zarr bin Abdullah se, woh Saeed bin Abdur Rahman bin Abza se, woh apne baap Abdur Rahman bin Abza se, unhon ne bayan kiya ke Ammar Razi Allah Anhu ne Umar Razi Allah Anhu se kaha ke main to zameen mein loot poat ho gaya phir Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein hazir hua to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke tere liye sirf chehre aur pahonchon par masah karna kafi tha (zameen par letne ki zaroorat na thi). 104676


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 338
حدثنا آدم، قال: حدثنا شعبة، حدثنا الحكم، عن ذر، عن سعيد بن عبد الرحمن بن ابزى، عن ابيه، قال: جاء رجل إلى عمر بن الخطاب، فقال: إني اجنبت فلم اصب الماء؟ فقال عمار بن ياسر لعمر بن الخطاب: اما تذكر انا كنا في سفر انا وانت، فاما انت فلم تصل، واما انا فتمعكت فصليت، فذكرت للنبي صلى الله عليه وسلم، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" إنما كان يكفيك هكذا، فضرب النبي صلى الله عليه وسلم بكفيه الارض ونفخ فيهما، ثم مسح بهما وجهه وكفيه".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Shuba ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Hakam bin Uyainah ne bayan kiya, unhon ne Zarr bin Abdullah se, unhon ne Saeed bin Abdur Rahman bin Abza se, woh apne baap se, unhon ne bayan kiya ke ek shakhs Umar bin Khattab Razi Allah Anhu ke paas aaya aur arz ki ke mujhe ghusl ki hajat ho gayi aur pani nahi mila (to main ab kya karoon) is par Ammar bin Yasir Razi Allah Anhuma ne Umar bin Khattab Razi Allah Anhu se kaha, kya aap ko yaad nahi jab main aur aap safar mein thay, hum donon junbi ho gaye. Aap ne to namaz nahi padhi lekin main ne zameen par loot poat liya, aur namaz padh li. Phir main ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se is ka zikr kiya to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke tujhe bas itna hi kafi tha aur aap ne apne donon hath zameen par mare phir unhein phoonka aur donon se chehre aur pahonchon ka masah kiya. 104673


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة