الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب التَّيَمُّمِ
The Book of Tayammum (Rubbing Hands and Feet with Dust)
بَابُ التَّيَمُّمُ لِلْوَجْهِ وَالْكَفَّيْنِ:
Chapter. Tayammum is for the hands and the face.
Hadith Number: 339
حدثنا حجاج، قال: اخبرنا شعبة، اخبرني الحكم، عن ذر، عن سعيد بن عبد الرحمن بن ابزى، عن ابيه، قال عمار بهذا،" وضرب شعبة بيديه الارض، ثم ادناهما من فيه، ثم مسح بهما وجهه وكفيه"، وقال النضر: اخبرنا شعبة، عن الحكم، قال: سمعت ذرا يقول: عن ابن عبد الرحمن بن ابزى، قال الحكم: وقد سمعته من ابن عبد الرحمن، عن ابيه، قال: قال عمار.
Hum se Hajjaj bin Minhal ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne kaha ke mujhe Hakam bin Uyainah ne khabar di Zarr bin Abdullah se, woh Saeed bin Abdur Rahman bin Abza se, woh apne baap se ke Ammar ne yeh waqia bayan kiya (jo pehle guzar chuka) aur Shuba ne apne hathon ko zameen par mara. Phir unhein apne munh ke qareeb kar liya (aur phoonka) phir un se apne chehre aur pahonchon ka masah kiya aur Nazr bin Shumail ne bayan kiya ke mujhe Shuba ne khabar di Hakam se ke main ne Zarr bin Abdullah se suna, woh Saeed bin Abdur Rahman bin Abza ke hawala se hadees riwayat karte thay. Hakam ne kaha ke main ne yeh hadees Ibn Abdur Rahman bin Abza se suni, woh apne walid ke hawala se bayan karte thay ke Ammar ne kaha (jo pehle mazkoor hua). 104674
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 340
حدثنا سليمان بن حرب، قال: حدثنا شعبة، عن الحكم، عن ذر، عن ابن عبد الرحمن بن ابزى، عن ابيه، انه شهد عمر، وقال له عمار: كنا في سرية، فاجنبنا، فقال:" تفل فيهما".
Hum se Sulaiman bin Harb ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne Hakam ke wasita se hadees bayan ki, woh Zarr bin Abdullah se, woh Ibn Abdur Rahman bin Abza se, woh apne baap se ke woh Umar Razi Allah Anhu ki khidmat mein hazir thay aur Ammar Razi Allah Anhu ne un se kaha ke hum ek lashkar mein gaye hue thay. Pas hum donon junbi ho gaye. Aur (is mein hai ke bajaye «nafakha fihima» ke) unhon ne «tafala fihima» kaha. 104675
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 341
حدثنا محمد بن كثير، اخبرنا شعبة، عن الحكم، عن ذر، عن ابن عبد الرحمن بن ابزى، عن عبد الرحمن بن ابزى، قال: قال عمار لعمر: تمعكت فاتيت النبي صلى الله عليه وسلم، فقال:" يكفيك الوجه والكفان".
Hum se Muhammad bin Kaseer ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne Hakam se, woh Zarr bin Abdullah se, woh Saeed bin Abdur Rahman bin Abza se, woh apne baap Abdur Rahman bin Abza se, unhon ne bayan kiya ke Ammar Razi Allah Anhu ne Umar Razi Allah Anhu se kaha ke main to zameen mein loot poat ho gaya phir Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein hazir hua to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke tere liye sirf chehre aur pahonchon par masah karna kafi tha (zameen par letne ki zaroorat na thi). 104676
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 342
حدثنا مسلم، حدثنا شعبة، عن الحكم، عن ذر، عن ابن عبد الرحمن، عن عبد الرحمن، قال: شهدت عمر، فقال له عمار: وساق الحديث.
Hum se Muslim bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne Hakam se, unhon ne Zarr bin Abdullah se, unhon ne Saeed bin Abdur Rahman bin Abza se. Unhon ne Abdur Rahman bin Abza se, unhon ne kaha ke main Umar Razi Allah Anhu ki khidmat mein maujood tha ke Ammar Razi Allah Anhu ne un se kaha. Phir unhon ne poori hadees bayan ki. 104677
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 343
حدثنا محمد بن بشار، قال: حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن الحكم، عن ذر، عن ابن عبد الرحمن بن ابزى، عن ابيه، قال: قال عمار:" فضرب النبي صلى الله عليه وسلم بيده الارض فمسح وجهه وكفيه".
Hum se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Ghundar ne, kaha ke hum se Shuba ne Hakam ke wasite se, unhon ne Zarr bin Abdullah se, unhon ne Ibn Abdur Rahman bin Abza se, unhon ne apne walid se ke Ammar ne bayan kiya ”Pas Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne hathon ko zameen par mara aur is se apne chehre aur pahonchon ka masah kiya“ . 104678
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة