الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب أحاديث الأنبياء
Kitab: Anbiya Alaihim-us-Salam ke bayan mein
باب قول الله تعالى: {واتخذ الله إبراهيم خليلا} :
Bab: Allah Taala ka (Surah An-Nisa mein) farman ke“Aur Allah ne Ibrahim ko khaleel banaya”.
Hadith Number: 3350
حدثنا إسماعيل بن عبد الله، قال: اخبرني اخي عبد الحميد، عن ابن ابي ذئب، عن سعيد المقبري، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" يلقى إبراهيم اباه آزر يوم القيامة وعلى وجه آزر قترة وغبرة، فيقول له إبراهيم: الم اقل لك لا تعصني، فيقول: ابوه فاليوم لا اعصيك، فيقول إبراهيم: يا رب إنك وعدتني ان لا تخزيني يوم يبعثون فاي خزي اخزى من ابي الابعد، فيقول الله تعالى: إني حرمت الجنة على الكافرين، ثم يقال: يا إبراهيم ما تحت رجليك فينظر فإذا هو بذيخ ملتطخ فيؤخذ بقوائمه فيلقى في النار".
Hum se Ismail Bin Abdullah ne bayan kiya ke mujhe mere bhai Abdul Hameed ne khabar di, unhein Ibn Abi Zi'b ne, unhein Said Maqbari ne aur unhein Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke Ibrahim Alaihis Salam apne walid Aazar se qiyamat ke din jab mileinge to un ke (walid ke) chehre par siyahi aur ghubar ho ga. Ibrahim Alaihis Salam kaheinge ke kya mein ne aap se nahi kaha tha ke meri mukhalifat na kijiye. Wo kaheinge ke aaj mein aap ki mukhalifat nahi karta. Ibrahim Alaihis Salam arz kareinge ke Ae Rabb! Tu ne waada farmaya tha ke mujhe qiyamat ke din ruswa nahi karega. Aaj is ruswayi se badh kar aur kaun si ruswayi ho gi ke mere walid teri rehmat se sab se zyada door hain. Allah Ta'ala farmaye ga ke mein ne jannat kafiron par haram qarar di hai. Phir kaha jaye ga ke Ae Ibrahim! Tumhare qadmo ke neeche kya cheez hai? Wo dekheinge to ek zibah kiya hua janwar khoon mein lathda hua wahan pada ho ga aur phir is ke paon pakad kar ise jahannum mein daal diya jaye ga
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4768
وقال إبراهيم بن طهمان: عن ابن ابي ذئب، عن سعيد بن ابي سعيد المقبري، عن ابيه، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" إن إبراهيم عليه الصلاة والسلام يرى اباه يوم القيامة عليه الغبرة، والقترة الغبرة هي القترة".
Aur hum se Ibrahim bin Tahman ne kaha ke un se Ibn Abi Zib ne byaan kiya , un se Saeed bin Abi Saeed Maqburi ne , un se un ke walid ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Ibrahim alayhis-salatu was-salamu apne walid (Azar) ko Qayamat ke din gard-aalood kala kaloota dekhein ge . Imam Bukhari rahmahullah ne kaha «ghabaratun» aur «qataratun» hum-maani hain .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4769
حدثنا إسماعيل، حدثنا اخي، عن ابن ابي ذئب، عن سعيد المقبري، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" يلقى إبراهيم اباه، فيقول: يا رب، إنك وعدتني ان لا تخزيني يوم يبعثون، فيقول الله: إني حرمت الجنة على الكافرين".
Hum se Ismail ne byaan kiya , kaha mujh se mere bhai (Abdul Hameed) ne byaan kiya , un se Ibn Abi Zib ne , un se Saeed Maqburi ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Ibrahim alayhis-salatu was-salamu apne walid se (Qayamat ke din) jab milein ge to Allah Ta'ala se arz karein ge ke Ae Rabb! Tu ne waada kiya tha ke tu mujhe is din ruswa nahi kare ga jab sab uthaye jayein ge lekin Allah Ta'ala jawab de ga ke main ne jannat ko kafiron par haram qarar de diya hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة