الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب بدء الخلق
Kitab: Is bayan mein ke makhlooq ki paidaish kyonkar shuru hui
باب إذا وقع الذباب فى شراب أحدكم فليغمسه، فإن فى إحدى جناحيه داء وفي الأخرى شفاء:
Bab: Is hadees ka bayan jab makkhi paani ya khane mein gir jaye to us ko dubo de kyunke us ke ek par mein bimari hoti hai aur doosre mein shifa hoti hai.
Show diacritics
Hadith Number: 3320
حدثنا خالد بن مخلد، حدثنا سليمان بن بلال، قال: حدثني عتبة بن مسلم، قال: اخبرني عبيد بن حنين، قال: سمعت ابا هريرة رضي الله عنه، يقول: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إذا وقع الذباب في شراب احدكم فليغمسه، ثم لينزعه فإن في إحدى جناحيه داء والاخرى شفاء".
Hum se Khalid Bin Makhlad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sulaiman Bin Bilal ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Utba Bin Muslim ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujhe Ubaid Bin Hunain ne khabar di, unhon ne kaha ke mein ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se suna, wo bayan karte thay ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jab makkhi kisi ke peene (ya khane ki cheez) mein pad jaye to ise dubo de aur phir nikal kar phaink de. Kyunke is ke ek parr mein bimari hai aur is ke doosre (parr) mein shifa hoti hai."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5782
حدثنا قتيبة حدثنا إسماعيل بن جعفر عن عتبة بن مسلم مولى بني تيم عن عبيد بن حنين مولى بني زريق عن ابي هريرة رضي الله عنه ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال: «إذا وقع الذباب في إناء احدكم، فليغمسه كله، ثم ليطرحه، فإن في احد جناحيه شفاء وفي الآخر داء» .
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ismail bin Jafar ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Bani Tameem ke mola Utbah bin Muslim ne bayan kiya, in se Bani Zurayq ke mola Ubaid bin Hunain ne bayan kiya aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jab makkhi tum mein se kisi ke bartan mein par jaye to poori makkhi ko bartan mein dubo de aur phir usay nikaal kar phenk de kyunke is ke ek par mein shifa aur doosre mein beemari hai.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة