الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب بدء الخلق
Kitab: Is bayan mein ke makhlooq ki paidaish kyonkar shuru hui
باب صفة إبليس وجنوده:
Bab: Iblees aur us ki fauj ka bayan.
Hadith Number: 3293
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن سمي مولى ابي بكر، عن ابي صالح، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال: من قال:" لا إله إلا الله وحده، لا شريك له، له الملك وله الحمد وهو على كل شيء قدير، في يوم مائة مرة كانت له عدل عشر رقاب، وكتبت له مائة حسنة ومحيت عنه مائة سيئة، وكانت له حرزا من الشيطان يومه ذلك حتى يمسي، ولم يات احد بافضل مما جاء به إلا احد عمل اكثر من ذلك".
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hum ko Imam Maalik ne khabar di, unhein Abu Bakr ke ghulam Sumay ne, unhein Abu Salah ne aur unhein Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jo shakhs din bhar mein so martaba ye dua parhega 'La ilaha illallahu wahdahu la sharika lahu, lahul mulku wa lahul hamdu, wa huwa ala kulli shai-in qadirun' 'Nahi hai koi mabood, siwa Allah Ta'ala ke, is ka koi shareek nahi, mulk usi ka hai. Aur tamam tareef usi ke liye hai aur wo har cheez par qadir hai.' To ise das ghulam azad karne ke barabar sawab milega. So naikiyaan is ke nama-e-amal mein likhi jayeingi aur so buraiyaan is se mita di jayeingi. Is roz din bhar ye dua shaitan se is ki hifazat karti rahegi. Ta-aanke sham ho jaye aur koi shakhs is se behtar amal le kar na aaye ga, magar jo is se bhi zyada ye kalma parh le."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6403
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن سمي، عن ابي صالح، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" من قال: لا إله إلا الله وحده لا شريك، له له الملك، وله الحمد، وهو على كل شيء قدير في يوم مائة مرة، كانت له عدل عشر رقاب، وكتب له مائة حسنة، ومحيت عنه مائة سيئة، وكانت له حرزا من الشيطان يومه ذلك حتى يمسي، ولم يات احد بافضل مما جاء إلا رجل عمل اكثر منه".
Hum se Abdullah bin Maslamah Qanabi ne bayan kiya, in se Imam Malik ne bayan kiya, in se Sumay ne, in se Abu Salih ne, in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jis ne yeh kalma ke Allah ke siwa koi mabood nahi, tanha hai is ka koi shareek nahi, isi ke liye badshahi hai aur isi ke liye tareefein hain aur woh har cheez par qudrat rakhne wala hai.“ din mein sau dafa parha usay das ghulamon ko aazad karne ka sawab mile ga aur is ke liye sau naikiyaan likh di jayein gi aur is ki sau buraiyaan mita di jayein gi aur is din woh shaytan ke shar se mahfooz rahe ga shaam tak ke liye aur koi shakhs is din is se behtar kaam karne wala nahi samjha jaye ga, siwa is ke jo is se zyada kare.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة