الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب بدء الخلق
Kitab: Is bayan mein ke makhlooq ki paidaish kyonkar shuru hui
باب إذا قال أحدكم آمين. والملائكة فى السماء، فوافقت إحداهما الأخرى، غفر له ما تقدم من ذنبه:
Bab: Is hadees ke bayan mein ke jab ek tumhara (jahri namaz mein Surah Fatiha ke khatm par ba-awaz buland) Ameen kehta hai to farishte bhi aasman par (zor se) Ameen kehte hain aur is tarah dono ki zaban se ek sath (ba-awaz buland) Ameen niklti hai to bande ke guzre hue tamam gunah maaf ho jate hain.
Hadith Number: 3237
حدثنا مسدد، حدثنا ابو عوانة، عن الاعمش، عن ابي حازم، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إذا دعا الرجل امراته إلى فراشه فابت فبات غضبان عليها لعنتها الملائكة حتى تصبح" تابعه شعبة، وابو حمزة، وابن داود، وابو معاوية، عن الاعمش.
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Abu Awana ne bayan kiya, un se Aamash ne, un se Abu Hazim ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Agar kisi mard ne apni biwi ko apne bistar par bulaya, lekin us ne aane se inkar kar diya aur mard is par ghussa ho kar so gaya, to subah tak farishte is aurat par lanat karte rehte hain." Is riwayat ki mutabi-at, Abu Hamza, Ibn Dawood aur Abu Muawiyah ne Aamash ke wasita se ki hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5193
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا ابن ابي عدي، عن شعبة، عن سليمان، عن ابي حازم، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا دعا الرجل امراته إلى فراشه فابت ان تجيء لعنتها الملائكة حتى تصبح".
Hum se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , kaha hum se Ibn Abi Adi ne byaan kiya , in se Shubah ne , un se Sulayman ne , un se Abu Hazim ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab shohar apni biwi ko apne bistar par bulaye aur woh aane se (narazgi ki wajah se) inkar kar de to farishte subah tak is par lanat bhejte hain .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5194
حدثنا محمد بن عرعرة، حدثنا شعبة، عن قتادة، عن زرارة، عن ابي هريرة، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إذا باتت المراة مهاجرة فراش زوجها لعنتها الملائكة حتى ترجع".
Hum se Muhammad bin Ar'arah ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Shubah ne byaan kiya , in se Qatadah ne byaan kiya , un se Zurarah ne byaan kiya aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar aurat apne shohar se narazgi ki wajah se is ke bistar se alag thalag raat guzare to farishte is par is waqt tak lanat bhejte hain jab tak woh apni is harakat se baaz na aa jaye .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة