الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب بدء الخلق
Kitab: Is bayan mein ke makhlooq ki paidaish kyonkar shuru hui
باب إذا قال أحدكم آمين. والملائكة فى السماء، فوافقت إحداهما الأخرى، غفر له ما تقدم من ذنبه:
Bab: Is hadees ke bayan mein ke jab ek tumhara (jahri namaz mein Surah Fatiha ke khatm par ba-awaz buland) Ameen kehta hai to farishte bhi aasman par (zor se) Ameen kehte hain aur is tarah dono ki zaban se ek sath (ba-awaz buland) Ameen niklti hai to bande ke guzre hue tamam gunah maaf ho jate hain.
Show diacritics
Hadith Number: 3233
حدثنا حفص بن عمر، حدثنا شعبة، عن الاعمش، عن إبراهيم، عن علقمة، عن عبد الله رضي الله عنه لقد راى من آيات ربه الكبرى سورة النجم آية 18، قال:" راى رفرفا اخضر سد افق السماء".
Hum se Hafs Bin Umar ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Aamash ne, un se Ibrahim ne, un se Alqama ne aur un se Abdullah (Radi Allahu Anhu) ne (Allah Ta'ala ke irshad) "laqad ra-aa min ayati rabbihil kubra" ke mutaliq batlaya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ek sabz rang ka bichhona dekha tha jo aasman mein sare kinaron ko ghere hue tha
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4858
حدثنا قبيصة، حدثنا سفيان، عن الاعمش، عن إبراهيم، عن علقمة، عن عبد الله رضي الله عنه، لقد راى من آيات ربه الكبرى سورة النجم آية 18، قال:" راى رفرفا اخضر قد سد الافق".
Hum se Qubaysah bin Utbah ne byaan kiya, kaha hum se Sufyan Sawri ne byaan kiya, un se Aamash ne, un se Ibrahim Nakhai ne, un se Alqamah ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne aayat «laqad ra-aa min aayaati rabbihil kubra» yani ”Aap ne apne Rabb ki azeem nishaniyan dekhein“ ke mutalliq batlaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne «rafraf» (sabz farsh) ko dekha jis ne aasman ke kinaron ko dhaanp liya tha.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة