الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب بدء الخلق
Kitab: Is bayan mein ke makhlooq ki paidaish kyonkar shuru hui
باب ذكر الملائكة:
Bab: Farishton ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 3218
حدثنا ابو نعيم، حدثنا عمر بن ذر، ح قال: حدثني يحيى بن جعفر، حدثنا وكيع، عن عمر بن ذر، عن ابيه، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم لجبريل:" الا تزورنا اكثر مما تزورنا، قال: فنزلت وما نتنزل إلا بامر ربك له ما بين ايدينا وما خلفنا سورة مريم آية 64 الآية".
Hum se Abu Nuaym ne bayan kiya, kaha hum se Umar Bin Zarr ne bayan kiya (doosri sanad) Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha ke mujh se Yahya Bin Jafar ne bayan kiya, kaha hum se Wakee ne bayan kiya, un se Umar Bin Zarr ne, un se un ke walid ne, un se Said Bin Jubair ne aur un se Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Jibrail Alaihis Salam se ek martaba farmaya "Hum se mulaqat ke liye jitni martaba Aap aate hain is se zyada kyun nahi aate?" Bayan kiya ke is par ye ayat nazil hui "wa ma natanazzalu illa bi-amri rabbika lahu ma baina aidina wa ma khalfana" "Aur hum nahi utarte lekin tere Rabb ke hukm se, usi ka hai jo kuch ke hamare samne hai aur jo kuch hamare peechhe hai." Akheer ayat tak
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4731
حدثنا ابو نعيم، حدثنا عمر بن ذر، قال: سمعت ابي، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم لجبريل:" ما يمنعك ان تزورنا اكثر مما تزورنا، فنزلت وما نتنزل إلا بامر ربك له ما بين ايدينا وما خلفنا سورة مريم آية 64".
Hum se Abu Naeem Fadl bin Dukayn ne byaan kiya , kaha hum se Umar bin Zharr ne byaan kiya , kaha ke main ne apne walid se suna , un se Saeed bin Jubayr ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Jibraeel alaihissalam ne farmaya ”Jaisa ke ab Aap hamari mulaqat ko aaya karte hain , is se zyada Aap hum se milne ke liye kyun nahi aaya karte ? Is par yeh aayat nazil hui «wa ma natanazzalu illa bi-amri rabbika lahu ma bayna aydeena wa ma khalfana» al-kh yani ”hum (farishte) nazil nahi hote bajuz Aap ke Parvardigar ke hukm ke , isi ki milk hai jo kuch hamare aage hai aur jo kuch hamare peeche hai .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7455
حدثنا خلاد بن يحيى، حدثنا عمر بن ذر، سمعت ابي يحدث، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" يا جبريل ما يمنعك ان تزورنا اكثر مما تزورنا، فنزلت وما نتنزل إلا بامر ربك له ما بين ايدينا وما خلفنا سورة مريم آية 64 إلى آخر الآية قال: كان هذا الجواب لمحمد صلى الله عليه وسلم.
Hum se Khallad bin Yahya ne bayan kiya, kaha hum se Amr bin Zharr ne bayan kiya, kaha hum ne apne walid Zharr bin Abdullah se suna, woh Saeed bin Jubayr se bayan karte thay aur woh Ibn Abbas raziAllahu anhuma se ke Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Ae Jibrail! Aap ko hamare paas is se zyada aane mein kiya rukawat hai jitna Aap aate rehte hain? Is par yeh aayat nazil hui «wa maa natanaz-zalu il-laaa bi-amree rab-bik, lahoo maa baina aideena wa maa khalfanaa» ”aur hum nazil nahi hote lekin Aap ke Rabb ke hukm se, isi ka hai woh sab kuch jo hamare samne hai aur jo hamare peeche hai“ al-aaya. Bayan kiya ke Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ko yahi jawab aayat mein utra.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة