الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب بدء الخلق
Kitab: Is bayan mein ke makhlooq ki paidaish kyonkar shuru hui
باب ما جاء فى قول الله تعالى: {وهو الذى يبدأ الخلق ثم يعيده} :
Bab: Aur Allah Paak ne farmaya“Allah hi hai jis ne makhlooq ko pehli dafa paida kiya, aur wahi phir dobara (maut ke baad) zinda kare ga aur ye (dobara zinda karna) to us par aur bhi aasaan hai”.
Show diacritics
Hadith Number: 3191
حدثنا عمر بن حفص بن غياث، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، حدثنا جامع بن شداد، عن صفوان بن محرز انه حدثه، عن عمران بن حصين رضي الله عنهما، قال: دخلت على النبي صلى الله عليه وسلم وعقلت ناقتي بالباب فاتاه ناس من بني تميم، فقال:" اقبلوا البشرى يا بني تميم، قالوا: قد بشرتنا فاعطنا مرتين، ثم دخل عليه ناس من اهل اليمن، فقال: اقبلوا البشرى يا اهل اليمن إذ لم يقبلها بنو تميم، قالوا: قد قبلنا يا رسول الله، قالوا: جئناك نسالك عن هذا الامر، قال: كان الله ولم يكن شيء غيره وكان عرشه على الماء وكتب في الذكر كل شيء وخلق السموات والارض فنادى مناد ذهبت ناقتك يا ابن الحصين فانطلقت فإذا هي يقطع دونها السراب فوالله لوددت اني كنت تركتها".
Hum se Umar Bin Hafs Bin Ghiyath ne bayan kiya, kaha ke mujh se mere baap ne bayan kiya, kaha ke hum se Aamash ne bayan kiya, kaha hum se Jami Bin Shaddad ne bayan kiya, un se Safwan Bin Muhriz ne aur un se Imran Bin Husain (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke mein Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir hua. Aur apne ont ko mein ne darwaze hi par baandh diya. Is ke baad Bani Tamim ke kuch log Aap ki khidmat mein hazir hue. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne un se farmaya "Ae Banu Tamim! Khushkhabri qabool karo." Unhon ne do-bar kaha ke jab Aap ne humein khushkhabri di hai to ab mal bhi dijiye. Phir Yemen ke chand log khidmat-e-Nabwi mein hazir hue. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne un se bhi yahi farmaya ke khushkhabri qabool kar lo Ae Yemen walo! Banu Tamim walon ne to nahi qabool ki. Wo bole: Ya Rasul Allah! Khushkhabri hum ne qabool ki. Phir wo kehne lage hum is liye hazir hue hain taake Aap se is (aalam ki paidayish) ka haal poochein. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Allah Ta'ala azal se maujood tha aur is ke siwa koi cheez maujood na thi aur us ka Arsh pani par tha. Lauh-e-Mahfooz mein us ne har cheez ko likh liya tha. Phir Allah Ta'ala ne aasman aur zameen ko paida kiya." (Abhi ye baatein ho hi rahi theen ke) ek pukarane wale ne awaz di ke Ibn-ul-Husain! Tumhari ontni bhag gayi. Mein is ke peechhe dauda. Dekha to wo sarab ki aad mein hai (mere aur is ke beech mein sarab haail hai yaani wo reti jo dhoop mein pani ki tarah chamakti hai) Allah Ta'ala ki qasam, mera dil bahut pachtaya ke kash, mein ne ise chhod diya hota (aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki hadees suni hoti)
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3190
حدثنا محمد بن كثير، اخبرنا سفيان، عن جامع بن شداد، عن صفوان بن محرز، عن عمران بن حصين رضي الله عنهما، قال: جاء نفر من بني تميم إلى النبي صلى الله عليه وسلم، فقال: يا بني تميم ابشروا، قالوا: بشرتنا فاعطنا فتغير وجهه فجاءه اهل اليمن، فقال: يا اهل اليمن اقبلوا البشرى إذ لم يقبلها بنو تميم، قالوا: قبلنا فاخذ النبي صلى الله عليه وسلم يحدث بدء الخلق والعرش فجاء رجل، فقال:" يا عمران راحلتك تفلتت ليتني لم اقم".
Hum se Muhammad Bin Kaseer ne bayan kiya, kaha hum ko Sufyan Thauri ne khabar di, unhein Jami Bin Shaddad ne, unhein Safwan Bin Muhriz ne aur un se Imran Bin Husain (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Bani Tamim ke kuch log Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein aaye to Aap ne un se farmaya ke Ae Bani Tamim ke logo! Tumhein bisharat ho. Wo kehne lage ke bisharat jab Aap ne hum ko di hai to ab humein kuch mal bhi dijiye. Is par Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke chehra-e-mubarak ka rang badal gaya, phir Aap ki khidmat mein Yemen ke log aaye to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne un se bhi farmaya ke Ae Yemen walo! Banu Tamim ke logon ne to khushkhabri ko qabool nahi kiya, ab tum ise qabool kar lo. Unhon ne arz kiya ke hum ne qabool kiya. Phir Aap makhluq aur Arsh-e-Ilahi ki ibtida ke bare mein guftagu farmane lage. Itne mein ek (namaloom) shakhs aaya aur kaha ke Imran! Tumhari ontni bhag gayi. (Imran Radi Allahu Anhuma kehte hain) kash, mein Aap ki majlis se na uthta to behtar hota
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة