الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب فرض الخمس
Kitab: Khumus ke farz hone ka bayan
باب ما من النبى صلى الله عليه وسلم على الأسارى من غير أن يخمس:
Bab: Nabi Karim ﷺ ka ihsan rakh kar qaidiyon ko muft chhor dena, aur khums waghera na nikaalna.
Hadith Number: 3139
حدثنا إسحاق بن منصور، اخبرنا عبد الرزاق، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن محمد بن جبير، عن ابيه رضي الله عنه، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال في اسارى بدر:" لو كان المطعم بن عدي حيا، ثم كلمني في هؤلاء النتنى لتركتهم له".
Hum se Ishaq Bin Mansoor ne bayan kiya, kaha hum ko Abdur Razzaq ne khabar di, unhein Ma'mar ne, unhein Zuhri ne, unhein Muhammad Bin Jubair ne aur unhein un ke walid (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Badr ke qaidiyon ke bare mein farmaya tha ke agar Mut'im Bin Adi (jo kufr ki halat mein mar gaye thay) zinda hote aur in najis, na-paak logon ki sifarish karte to mein un ki sifarish se unhein (fidya liye baghair) chhod deta
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4024
وقال الليث: عن يحيى بن سعيد، عن سعيد بن المسيب: وقعت الفتنة الاولى يعني مقتل عثمان فلم تبق من اصحاب بدر احدا، ثم وقعت الفتنة الثانية يعني الحرة، فلم تبق من اصحاب الحديبية احدا، ثم وقعت الثالثة فلم ترتفع وللناس طباخ.
Aur Lais ne Yahya Bin Saeed Ansari se bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Saeed Bin Musayyib ne bayan kiya ke pehla fasad jab barpa hua yani Usman Radi Allahu Anhu ki shahadat ka to is ne ashab-e-Badr mein se kisi ko baqi nahi chora. Phir jab doosra fasad barpa hua yani Harrah ka, to is ne ashab-e-Hudaybiyyah mein se kisi ko baqi nahi chora. Phir teesra fasad barpa hua to wo is waqt tak nahi gaya jab tak logon mein kuch bhi khoobi ya aql baqi thi
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة