الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب فرض الخمس
Kitab: Khumus ke farz hone ka bayan
باب قول النبى صلى الله عليه وسلم: أحلت لكم الغنائم :
Bab: Nabi Karim ﷺ ka ye farmana ke tumhare liye ghanimat ke maal halal kiye gaye.
Show diacritics
Hadith Number: 3123
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" تكفل الله لمن جاهد في سبيله لا يخرجه إلا الجهاد في سبيله وتصديق كلماته بان يدخله الجنة او يرجعه إلى مسكنه الذي خرج منه مع ما نال من اجر او غنيمة".
Hum se Ismail Bin Abi Uwais ne bayan kiya, unhon ne kaha mujh se Imam Malik Rahimahullah ne bayan kiya, un se Abu-uz-Zinad ne, un se Aaraj ne bayan kiya aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jo Allah ke raste mein Jihad kare, Jihad hi ki niyat se nikle, Allah ke kalam (us ke waade) ko sach jaan kar, to Allah us ka dhamin hai. Ya to Allah Ta'ala is ko shaheed kar ke Jannat mein le jaye ga, ya is ko sawab aur ghaneemat ka mal dila kar is ke ghar lauta laye ga."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 36
حدثنا حرمي بن حفص، قال: حدثنا عبد الواحد، قال: حدثنا عمارة، قال: حدثنا ابو زرعة بن عمرو بن جرير، قال: سمعت ابا هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" انتدب الله لمن خرج في سبيله لا يخرجه إلا إيمان بي وتصديق برسلي، ان ارجعه بما نال من اجر او غنيمة او ادخله الجنة، ولولا ان اشق على امتي ما قعدت خلف سرية، ولوددت اني اقتل في سبيل الله، ثم احيا، ثم اقتل، ثم احيا، ثم اقتل".
Hum se Harami bin Hafs ne bayan kiya, un se Abdul Waahid ne, un se Umarah ne, un se Abu Zur’ah bin Amr bin Jareer ne, woh kehte hain main ne Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se suna, woh Rasoolulllah Sallallahu Alaihi Wasallam se naql karte hain Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke jo shakhs Allah ki raah mein (jihaad ke liye) nikla, Allah us ka zaamin ho gaya. (Allah Ta’ala farmaata hai) us ko meri zaat par yaqeen aur mere paighambaron ki tasdeeq ne (is sarfaroshi ke liye ghar se) nikala hai. (Main is baat ka zaamin hun) ke ya to us ko waapas kar dun sawab aur maal-e-ghaneemat ke saath, ya (shaheed hone ke baad) jannat mein daakhil kar dun (Rasoolulllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya) aur agar main apni ummat par (is kaam ko) dushwaar na samjhta to lashkar ka saath na chorta aur meri khwahish hai ke Allah ki raah mein maara jaaon, phir zindah kiya jaaon, phir maara jaaon, phir zindah kiya jaaon, phir maara jaaon.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7457
حدثنا إسماعيل، حدثني مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" تكفل الله لمن جاهد في سبيله لا يخرجه إلا الجهاد في سبيله وتصديق كلماته بان يدخله الجنة او يرجعه إلى مسكنه الذي خرج منه مع ما نال من اجر او غنيمة".
Hum se Ismail bin Abi Oways ne bayan kiya, kaha hum se Imam Malik ne bayan kiya, in se Abu al-Zinad ne, in se Aaraj ne aur in se Abu Hurairyah razi Allahu anhune ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jis shakhs ne Allah ke raaste mein jihad kiya aur is ke liye nikalne ka maqsud is ke raaste mein jihad aur is ke kalam ki tasdeeq ke siwa aur kuch nahi thu to Allah is ka zhaamin hai ke usay jannat mein dakhil kare (agar woh shaheed ho gaya) ya sawab aur maal e ghaneemat ke saath usay wahien wapas lautaye jahan se woh aaya thu.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7463
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" تكفل الله لمن جاهد في سبيله لا يخرجه من بيته إلا الجهاد في سبيله، وتصديق كلمته ان يدخله الجنة او يرده إلى مسكنه بما نال من اجر او غنيمة".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya, unhon ne kaha hamako Imam Malik ne khabar di, unhein Abu al-Zinad ne, unhein Aaraj ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhune ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jis ne Allah ke raaste mein jihad kiya aur apne ghar se sirf is gharaz se nikla ke khalis Allah ke raaste mein jihad kare aur is ke kalma e tawheed ki tasdeeq kare to Allah Ta'ala is ki zhamanat le laita hai ke usay jannat mein dakhil kare ga ya phir sawab aur ghaneemat ke saath is ke ghar wapas kare ga.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة