الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجهاد والسير
Kitab: Jihad ka bayan
باب إن الله يؤيد الدين بالرجل الفاجر:
Bab: Allah Taala kabhi apne deen ki madad ek fajir shakhs se bhi kara leta hai.
Show diacritics
Hadith Number: 3062
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري ح، وحدثني محمود بن غيلان، حدثنا عبد الرزاق، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن ابن المسيب، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: شهدنا مع رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال: لرجل ممن يدعي الإسلام هذا من اهل النار، فلما حضر القتال قاتل الرجل قتالا شديدا فاصابته جراحة، فقيل: يا رسول الله، الذي قلت له: إنه من اهل النار فإنه قد قاتل اليوم قتالا شديدا وقد مات، فقال النبي صلى الله عليه وسلم إلى النار، قال:" فكاد بعض الناس ان يرتاب فبينما هم على ذلك إذ قيل إنه لم يمت ولكن به جراحا شديدا، فلما كان من الليل لم يصبر على الجراح فقتل نفسه، فاخبر النبي صلى الله عليه وسلم بذلك، فقال:" الله اكبر اشهد اني عبد الله ورسوله، ثم امر بلالا فنادى بالناس إنه لا يدخل الجنة إلا نفس مسلمة، وإن الله ليؤيد هذا الدين بالرجل الفاجر".
Hum se Abu Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuaib ne khabar di, unhein Zuhri ne (doosri sanad) mujh se Mahmud Bin Ghaylan ne bayan kiya, kaha hum se Abdur Razzaq ne bayan kiya, unhein Ma'mar ne khabar di, unhein Zuhri ne, unhein Ibn Musayyab ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke hum Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath ek Ghazwa mein maujood thay. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ek shakhs ke mutaliq jo apne ko Musalman kehta tha, farmaya ke ye shakhs Dozakh walon mein se hai. Jab jung shuru hui to wo shakhs (Musalmanon ki taraf) badi bahaduri ke sath lada aur wo zakhmi bhi ho gaya. Sahaba ne arz kiya, Ya Rasul Allah! Jis ke mutaliq Aap ne farmaya tha ke wo Dozakh mein jaye ga. Aaj to wo badi be-jigri ke sath lada hai aur (zakhmi ho kar) mar bhi gaya hai. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ab bhi wahi jawab diya ke Jahannum mein gaya. Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya, ke mumkin tha ke baaz logon ke dil mein kuch shubha paida ho jata. Lekin abhi log isi ghaur-o-fikr mein thay ke kisi ne bataya ke abhi wo mara nahi hai. Albatta zakham kari hai. Phir jab raat aayi to us ne zakhamon ki taab na la kar khudkushi kar li. Jab Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko is ki khabar di gayi to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: Allahu Akbar! Mein gawahi deta hoon ke mein Allah ka banda aur us ka Rasul hoon. Phir Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Bilal (Radi Allahu Anhu) ko hukm diya, aur unhon ne logon mein elan kar diya ke Musalman ke siwa Jannat mein koi aur dakhil nahi hoga aur Allah Ta'ala kabhi apne deen ki imdad kisi fajir shakhs se bhi kara leta hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4203
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني سعيد بن المسيب، ان ابا هريرة رضي الله عنه، قال: شهدنا خيبر،فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم لرجل ممن معه يدعي الإسلام:" هذا من اهل النار"، فلما حضر القتال قاتل الرجل اشد القتال حتى كثرت به الجراحة، فكاد بعض الناس يرتاب، فوجد الرجل الم الجراحة فاهوى بيده إلى كنانته فاستخرج منها اسهما فنحر بها نفسه، فاشتد رجال من المسلمين فقالوا: يا رسول الله، صدق الله حديثك انتحر فلان فقتل نفسه، فقال:" قم يا فلان فاذن انه لا يدخل الجنة إلا مؤمن، إن الله يؤيد الدين بالرجل الفاجر". تابعه معمر، عن الزهري،
Hum se Abul Yaman ne bayan kiya ‘ kaha hum ko Shuaib ne khabar di ‘ in se Zuhri ne bayan kiya ‘ unhein Saeed Bin Musayyab ne khabar di aur in se Abu Huraira Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke hum Khaibar ki jung mein shareek thay. Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek sahib ke mutaliq jo Aap ke sath thay aur khud ko musalman kehte thay farmaya ke ye shakhs ahl-e-dozakh mein se hai. Phir jab larayi shuru hui to wo sahib bari pamardi se lare aur bahut zyada zakhmi ho gaye. Mumkin tha ke kuch log shubha mein par jate lekin in sahib ke liye zakhmon ki takleef na-qabil-e-bardasht thi. Chunancha unhon ne apne tarkash mein se teer nikala aur apne seene mein chabho diya. Ye manzar dekh kar musalman dorte hue Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein hazir hue aur arz kiya: Ya Rasul Allah! Allah Ta'ala ne Aap ka farman sach kar dikhaya. Is shakhs ne khud apne seene mein teer chabho kar khudkushi kar li hai. Is par Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke Ai falaan! Ja aur elaan kar de ke jannat mein sirf momin hi dakhil honge. Yun Allah Ta'ala apne deen ki madad fajir shakhs se bhi le leyta hai. Is riwayat ki mutabiat Ma'mar ne Zuhri se ki
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4293
حدثني محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن منصور، عن ابي الضحى، عن مسروق، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" كان النبي صلى الله عليه وسلم يقول في ركوعه وسجوده: سبحانك اللهم ربنا وبحمدك، اللهم اغفر لي".
Mujh se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya ‘ kaha hum se Ghundar ne byaan kiya ‘ kaha hum se Shubah ne byaan kiya ‘ un se Mansoor ne ‘ un se Abu al-Duha ne ‘ un se Masrooq ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam apne ruku aur sajda mein yeh parhte thay «subhanakallahumma , rabbana wa bihamdika , allahummaghfirli» .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6606
حدثنا حبان بن موسى، اخبرنا عبد الله، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن سعيد بن المسيب، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: شهدنا مع رسول الله صلى الله عليه وسلم خيبر، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم لرجل ممن معه يدعي الإسلام:" هذا من اهل النار"، فلما حضر القتال: قاتل الرجل من اشد القتال وكثرت به الجراح فاثبتته، فجاء رجل من اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم، فقال: يا رسول الله، ارايت الرجل الذي تحدثت انه من اهل النار قد قاتل في سبيل الله من اشد القتال، فكثرت به الجراح، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" اما إنه من اهل النار"، فكاد بعض المسلمين يرتاب، فبينما هو على ذلك، إذ وجد الرجل الم الجراح فاهوى بيده إلى كنانته فانتزع منها سهما فانتحر بها، فاشتد رجال من المسلمين إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقالوا: يا رسول الله، صدق الله حديثك، قد انتحر فلان فقتل نفسه، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" يا بلال، قم فاذن لا يدخل الجنة إلا مؤمن، وإن الله ليؤيد هذا الدين بالرجل الفاجر".
Hum se Habban bin Musa ne bayan kiya , unhon ne kaha hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di , unhon ne kaha hum ko Mamar ne khabar di , unhein Zuhri ne , unhein Saeed bin al-Musayyab ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke hum Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath Khaibar ki larayi mein maujood thay , Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne ek shakhs ke baare mein jo Aap ke saath shareek e jihad thu aur Islam ka dawedar thu farmaya ke yeh jahannumi hai . Jab jang hone lagi to is shakhs ne bahut jum kar larayi mein hissa liya aur bahut zyada zakhmi ho gaya phir bhi woh sabit-qadam raha . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke ek sahabi ne aa kar arz kiya: ya Rasool Allah! Is shakhs ke baare mein Aap ko maloom hai jis ke baare mein abhi Aap ne farmaya thu ke woh jahannumi hai woh to Allah ke raaste mein bahut jum kar lara hai aur bahut zyada zakhmi ho gaya hai . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne ab bhi yahi farmaya ke woh jahannumi hai . Mumkin tha ke baaz Musalman shubha mein par jaate lekin is arsa mein is shakhs ne zakhmon ki taab na la kar apna tarkash khola aur is mein se ek teer nikaal kar apne Aap ko zibah kar liya . Phir bahut se Musalman Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein dorte huay pahunche aur arz kiya: ya Rasool Allah! Allah Ta'ala ne Aap ki baat sach kar dikhayi . Is shakhs ne apne Aap ko halak kar ke apni jaan khud hi khatm kar daali . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is mauqa par farmaya ke Ae Bilal! Utho aur logon mein elaan kar do ke jannat mein sirf momin hi dakhil ho ga aur yeh ke Allah Ta'ala is deen ki khidmat wa madad be-deen aadmi se bhi karata hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة