الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجهاد والسير
Kitab: Jihad ka bayan
باب فكاك الأسير:
Bab: (Muslim) qaidiyon ko azad karana.
Show diacritics
Hadith Number: 3047
حدثنا احمد بن يونس، حدثنا زهير، حدثنا مطرف ان عامرا حدثهم، عن ابي جحيفة رضي الله عنه، قال: قلت: لعلي رضي الله عنه هل عندكم شيء من الوحي إلا ما في كتاب الله، قال: والذي فلق الحبة وبرا النسمة ما اعلمه إلا فهما يعطيه الله رجلا في القرآن، وما في هذه الصحيفة، قلت: وما في الصحيفة؟ قال: العقل وفكاك الاسير، وان لا يقتل مسلم بكافر.
Hum se Ahmad Bin Yunus ne bayan kiya, kaha hum se Zuhair ne bayan kiya, un se Mutarrif ne bayan kiya, un se Aamir ne bayan kiya, aur un se Abu Juhaifa (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mein ne Ali (Radi Allahu Anhu) se pucha, Aap hazrat (Ahl-e-Bait) ke paas Kitab Allah ke siwa aur bhi koi wahi hai? Aap ne is ka jawab diya. Is zaat ki qasam! Jis ne dane ko (zameen) cheer kar (nikala) aur jis ne rooh ko paida kiya, mujhe to koi aisi wahi maloom nahi (jo Quran mein na ho) albatta samajh ek doosri cheez hai, jo Allah kisi bande ko Quran mein ata farmaye (Quran se tarah tarah ke matalib nikale) ya jo is waraq mein hai. Mein ne pucha, is waraq mein kya likha hai? Unhon ne batlaya ke deeyat ke ahkaam aur qaidi ka chudana aur Musalman ka kafir ke badle mein na mara jana (ye masail is waraq mein likhe hue hain aur bas)
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 111
حدثنا محمد بن سلام، قال: اخبرنا وكيع، عن سفيان، عن مطرف، عن الشعبي، عن ابي جحيفة، قال: قلت لعلي:" هل عندكم كتاب؟ قال: لا، إلا كتاب الله، او فهم اعطيه رجل مسلم او ما في هذه الصحيفة، قال: قلت، فما في هذه الصحيفة؟ قال: العقل وفكاك الاسير، ولا يقتل مسلم بكافر".
Hum se Muhammed bin Salaam ne bayan kiya, unhein Wakee’ ne Sufyan se khabar di, unhon ne Mutarrif se suna, unhon ne Sha’bi Rahimahullah se, unhon ne Abu Juhaifah se, woh kehte hain ke main ne ’Ali Radhiallahu Anhu se poocha ke kya aap ke paas koi (aur bhi) kitaab hai? Unhon ne farmaaya ke nahi, magar Allah ki kitaab Quran hai ya phir feham hai jo woh ek musalmaan ko ata karta hai. Ya phir jo kuch is saheefe mein hai. Main ne poocha, is saheefe mein kya hai? Unhon ne farmaaya, diyat aur qaidiyon ki rihaayi ka bayan hai aur yeh hukm ke musalmaan, kaafir ke badle qatl na kiya jaaye.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة