الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجهاد والسير
Kitab: Jihad ka bayan
باب من لا يثبت على الخيل:
Bab: Jo ghore par achhi tarah na jam sakta ho (us ke liye dua karna).
Hadith Number: 3035
حدثني محمد بن عبد الله بن نمير، حدثنا ابن إدريس، عن إسماعيل، عن قيس، عن جرير رضي الله عنه، قال: ما حجبني النبي صلى الله عليه وسلم منذ اسلمت ولا رآني إلا تبسم في وجهي.
Hum se Muhammad Bin Abdullah Bin Numair ne bayan kiya ‘ kaha hum se Abdullah Bin Idrees ne bayan kiya ‘ in se Ismail Bin Abi Khalid ne ‘ in se Qais Bin Abi Hazim ne aur in se Jarir Bin Abdullah Bajali (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke jab se mein Islam laya ‘ Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne (parda ke sath) mujhe (apne ghar mein dakhil hone se) kabhi nahi roka aur jab bhi Aap mujh ko dekhte ‘ khushi se Aap muskurane lagte
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3822
حدثنا إسحاق الواسطي، حدثنا خالد، عن بيان، عن قيس، قال: سمعته يقول: قال جرير بن عبد الله رضي الله عنه:" ما حجبني رسول الله صلى الله عليه وسلم منذ اسلمت ولا رآني إلا ضحك".
Hum se Ishaq Wasiti ne bayan kiya kaha, hum se Khalid ne bayan kiya, un se Bayan ne ke mein ne Qais se suna, unhon ne bayan kiya ke Jarir Bin Abdullah Radi Allahu Anhu ne farmaya jab se mein Islam mein dakhil hua Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne mujhe (ghar ke andar aane se) nahi roka (jab bhi mein ne ijazat chahi) aur jab bhi Aap Sallallahu Alaihi Wasallam mujhe dekhte to muskurate
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6090
ولقد شكوت إليه اني لا اثبت على الخيل فضرب بيده في صدري وقال:" اللهم ثبته واجعله هاديا مهديا".
Main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se shikayat ki ke main ghore par jum kar nahi baith paata to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne apna hath mere seene par maara aur dua ki «allahumma sabit-hu waj-alhu haadiyam-mahdiy-yan» ”Ae Allah! Isay sabat farma, isay hidayat karne wala aur khud hidayat paya hua bana.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة