الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الحيض
Kitab: Haiz ke ahkam o masail
باب مباشرة الحائض:
Bab: Is bare mein ke ha’izah ke sath mubashirat karna (yani jima’ ke ilawa us ke sath letna baithna ja’iz hai).
Hadith Number: 299
حدثنا قبيصة، قال: حدثنا سفيان، عن منصور، عن إبراهيم، عن الاسود، عن عائشة، قالت:" كنت اغتسل انا والنبي صلى الله عليه وسلم من إناء واحد كلانا جنب.
Hum se Qabisah bin ’Uqbah ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sufyan Thawri ne Mansoor bin Ma’mar ke waaste se, woh Ibrahim Nakha’ee se, woh Aswad se, woh Aisha Radhiallahu Anha se naql karte hain ke unhon ne farmaaya main aur Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ek hi bartan mein ghusl karte the, halaanki dono junubi hote.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 250
حدثنا آدم بن ابي إياس، قال: حدثنا ابن ابي ذئب، عن الزهري، عن عروة، عن عائشة، قالت:" كنت اغتسل انا والنبي صلى الله عليه وسلم من إناء واحد من قدح، يقال له الفرق".
Hum se Adam bin Abi Iyaas ne Hadees bayan ki, unhon ne kaha ke hum se Ibn-e-Abi Zi’b ne Hadees bayan ki. Unhon ne Zohri se, unhon ne Urwah se, unhon ne Aisha Radhiallahu Anha se ke aap ne batlaaya ke main aur Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ek hi bartan mein ghusl kiya karte the us bartan ko Faraq kaha jaata tha. (Note: Faraq ke andar 6.298 Kilogram hota hai.)
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة