الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الحيض
Kitab: Haiz ke ahkam o masail
باب من سمى النفاس حيضا:
Bab: Is shakhs se mutalliq jis ne nafaas ka naam bhi haiz rakha.
Hadith Number: 298
حدثنا المكي بن إبراهيم، قال: حدثنا هشام، عن يحيى بن ابي كثير، عن ابي سلمة، ان زينب بنت ام سلمة حدثته، ان ام سلمة حدثتها، قالت:" بينا انا مع النبي صلى الله عليه وسلم مضطجعة في خميصة، إذ حضت فانسللت فاخذت ثياب حيضتي، قال: انفست؟ قلت: نعم، فدعاني فاضطجعت معه في الخميلة".
Hum se Makki bin Ibrahim ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Hishaam ne Yahya bin Katheer ke waaste se bayan kiya, unhon ne Abu Salamah se ke Zainab bint-e-Umm-e-Salamah ne un se bayan kiya aur un se Umm-e-Salamah Radhiallahu Anha ne ke main Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath ek chaadar mein leti hue thi, itne mein mujhe haiz aa gaya. Is liye main aahista se bahar nikal aayi aur apne haiz ke kapde pahan liye. Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne poocha kya tumhein nifaas aa gaya hai? Main ne arz kiya haan. Phir mujhe Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne bula liya, aur main chaadar mein Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath lait gayi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 322
حدثنا سعد بن حفص، قال: حدثنا شيبان، عن يحيى، عن ابي سلمة، عن زينب بنت ابي سلمة حدثته، ان ام سلمة، قالت:" حضت وانا مع النبي صلى الله عليه وسلم في الخميلة، فانسللت فخرجت منها فاخذت ثياب حيضتي فلبستها، فقال لي رسول الله صلى الله عليه وسلم: انفست؟ قلت: نعم، فدعاني فادخلني معه في الخميلة، قالت: وحدثتني ان النبي صلى الله عليه وسلم كان يقبلها وهو صائم، وكنت اغتسل انا والنبي صلى الله عليه وسلم من إناء واحد من الجنابة".
Hum se Sa’d bin Hafs ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Shaibaan Nahwi ne bayan kiya, unhon ne Yahya bin Abi Katheer se, unhon ne Abu Salamah se, unhon ne Zainab bint-e-Abi Salamah se, unhon ne bayan kiya ke Umm-e-Salamah Radhiallahu Anha ne farmaaya ke main Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath chaadar mein leti hue thi ke mujhe haiz aa gaya, is liye main chupke se nikal aayi aur apne haiz ke kapde pahen liye. Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya, kya tumhein haiz aa gaya hai? main ne kaha ji haan. Phir mujhe Aap ne bula liya aur apne saath chaadar mein daakhil kar liya. Zainab ne kaha ke mujh se Umm-e-Salamah Radhiallahu Anha ne bayan kiya ke Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam roze se hote aur usi haalat mein un ka bosa lete. Aur main ne aur Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek hi bartan mein janabat ka ghusl kiya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 323
حدثنا معاذ بن فضالة، قال: حدثنا هشام، عن يحيى، عن ابي سلمة، عن زينب بنت ابي سلمة، عن ام سلمة، قالت:" بينا انا مع النبي صلى الله عليه وسلم مضطجعة في خميلة حضت، فانسللت فاخذت ثياب حيضتي، فقال: انفست؟ فقلت: نعم، فدعاني فاضطجعت معه في الخميلة".
Hum se Mu’aaz bin Fazalah ne bayan kiya, kaha hum se Hishaam Dastuwaayi ne Yahya bin Abi Katheer se, woh Abu Salamah se, woh Zainab bint-e-Abi Salamah se, woh Umm-e-Salamah se, unhon ne batlaaya ke main Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath ek chaadar mein leti hue thi ke mujhe haiz aa gaya, main chupke se chali gayi aur haiz ke kapde badal liye, Aap ne poocha kya tujh ko haiz aa gaya hai. Main ne kaha, ji haan! Phir mujhe Aap ne bula liya aur main Aap ke saath chaadar mein lait gayi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1929
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن هشام بن ابي عبد الله، حدثنا يحيى بن ابي كثير، عن ابي سلمة، عن زينب ابنة ام سلمة، عن امها رضي الله عنه، قالت:" بينما انا مع رسول الله صلى الله عليه وسلم في الخميلة، إذ حضت، فانسللت، فاخذت ثياب حيضتي، فقال: ما لك، انفست؟ قلت: نعم، فدخلت معه في الخميلة، وكانت هي ورسول الله صلى الله عليه وسلم يغتسلان من إناء واحد، وكان يقبلها وهو صائم".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Yahya Bin Saeed Qattan ne bayan kiya, un se Hisham Bin Abi Abdullah ne, un se Yahya Bin Abi Kathir ne, un se Abu Salma ne, un se Umm-e-Salma (Radi Allahu Anha) ki beti Zainab ne aur un se un ki walda (Umm-e-Salma Radi Allahu Anha) ne bayan kiya ke mein Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath ek chadar mein (leti hui) thi ke mujhe haiz aa gaya. Is liye mein chupke se nikal aayi aur apna haiz ka kapra pehen liya. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne poocha kya baat hui ? kya haiz aa gaya hai ? Mein ne kaha han, phir mein aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath isi chadar mein chali gayi aur Umm-e-Salma (Radi Allahu Anha) aur Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ek hi bartan se ghusl (janabat) kiya karte thay aur Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) roze se hone ke bawajood un ka bosa lete thay
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة