الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجهاد والسير
Kitab: Jihad ka bayan
باب من أراد غزوة فورى بغيرها، ومن أحب الخروج يوم الخميس:
Bab: Larai ka maqam chhupana (doosra maqam bayan karna) aur jumeraat ke din safar karna.
Hadith Number: 2949
وعن الزهري، قال: اخبرني عبد الرحمن بن كعب بن مالك، ان كعب بن مالك رضي الله عنه، كان يقول: لقلما كان رسول الله صلى الله عليه وسلم" يخرج إذا خرج في سفر إلا يوم الخميس".
Yunus se riwayat hai, un se Zuhri ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujhe Abdur Rahman Bin Kaab Bin Malik ne khabar di ke Kaab Bin Malik (Radi Allahu Anhu) kaha karte thay ke kam aisa hota ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) kisi safar mein jumeraat ke siwa aur kisi din niklein
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2757
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عبد الرحمن بن عبد الله بن كعب، ان عبد الله بن كعب، قال: سمعت كعب بن مالك رضي الله عنه، قلت: يا رسول الله، إن من توبتي ان انخلع من مالي صدقة إلى الله وإلى رسوله صلى الله عليه وسلم، قال:" امسك عليك بعض مالك فهو خير لك، قلت: فإني امسك سهمي الذي بخيبر".
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya ' kaha hum se Laith ne bayan kiya ' un se Aqeel ne ' un se Ibn Shihab ne kaha ke mujhe Abdur Rahman Bin Abdullah Bin Kaab ne khabar di aur un se Abdullah Bin Kaab ne bayan kiya ke mein ne Kaab Bin Malik (Radi Allahu Anhu) se suna ' wo bayan karte thay ke mein ne arz kiya ya Rasul Allah! Meri tauba (ghazwa Tabook mein na jaane ki) qabool hone ka shukrana ye hai ke mein apna maal Allah aur us ke Rasul ke raste mein dedoon. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke agar apne maal ka ek hissa apne paas hi baqi rakkho to tumhare haq mein ye behtar hai. Mein ne arz kiya ke phir mein apna Khaibar ka hissa apne paas mehfooz rakhta hoon
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة