الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجهاد والسير
Kitab: Jihad ka bayan
باب الحرير فى الحرب:
Bab: Larai mein hareer yani khaalis reshmi kapra pehnna.
Show diacritics
Hadith Number: 2919
حدثنا احمد بن المقدام، حدثنا خالد بن الحارث، حدثنا سعيد، عن قتادة، ان انسا حدثهم ان النبي صلى الله عليه وسلم:" رخص لعبد الرحمن بن عوف والزبير في قميص من حرير من حكة كانت بهما".
Hum se Ahmad Bin Miqdam ne bayan kiya, kaha hum se Khalid Bin Haris ne bayan kiya, kaha hum se Saeed Bin Abi Arubah ne bayan kiya, un se Qatada ne aur un se Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Abdur Rahman Bin Auf aur Zubair (Radi Allahu Anhuma) ko kharish ke marz ki wajah se reshmi kurta pehenne ki ijazat de di thi, jo in donon ko lahiq ho gayi thi jo is marz mein mufeed hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2920
حدثنا ابو الوليد، حدثنا همام، عن قتادة، عن انس، حدثنا محمد بن سنان، حدثنا همام، عن قتادة، عن انس رضي الله عنه، انعبد الرحمن بن عوف والزبير شكوا إلى النبي صلى الله عليه وسلم يعني القمل، فارخص لهما في الحرير، فرايته عليهما في غزاة.
Hum se Abul Waleed ne bayan kiya, kaha hum se Hammam ne bayan kiya, un se Qatada ne aur un se Anas (Radi Allahu Anhu) ne, doosri sanad hum se Muhammad Bin Sinan ne bayan kiya un se Qatada ne un se Anas ne ke Abdur Rahman Bin Auf aur Zubair Bin Awwam (Radi Allahu Anhuma) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se juon ki shikayat ki to Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne unhein reshmi kapre ke istemal ki ijazat de di, phir mein ne jihad mein unhein reshmi kapra pehne hue dekha
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2921
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن شعبة، اخبرني قتادة، ان انسا حدثهم، قال:" رخص النبي صلى الله عليه وسلم لعبد الرحمن بن عوف والزبير بن العوام في حرير"،
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Yahya ne bayan kiya, un se Shuba ne, unhein Qatada ne khabar di aur un se Anas (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Abdur Rahman Bin Auf aur Zubair Bin Awwam (Radi Allahu Anhuma) ko reshmi kapre pehenne ki ijazat de di thi
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2922
حدثني محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة سمعت قتادة، عن انس رخص او رخص لهما لحكة بهما.
Hum se Muhammad Bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Ghundar ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, unhon ne Qatada se suna aur unhon ne Anas (Radi Allahu Anhu) se ke (Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne) rukhsaat di thi ya (ye bayan kiya ke) rukhsaat di gayi thi, in donon hazrat ko kharish ki wajah se jo un ko lahiq ho gayi thi
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5831
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا شعبة، عن الحكم، عن ابن ابي ليلى، قال: كان حذيفة بالمداين فاستسقى، فاتاه دهقان بماء في إناء من فضة فرماه به، وقال: إني لم ارمه إلا اني نهيته فلم ينته، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" الذهب والفضة والحرير والديباج هي لهم في الدنيا ولكم في الآخرة".
Hum se Sulayman bin Harb ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, in se Hakam ne, in se Ibn Abi Layla ne bayan kiya ke Huzayfah razi Allahu anhu Madain mein thay. Unhon ne pani maanga. Ek dehati chaandi ke bartan mein pani laya. Unhon ne usay phenk diya aur kaha ke main ne sirf usay is liye phenka hai ke main is shakhs ko mana kar chuka hoon (ke chaandi ke bartan mein mujhe khana aur pani na diya karo) lekin woh nahi mana. Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya hai ke sona, chaandi, resham aur deeba in (kuffar) ke liye duniya mein hai aur tumhare (Musalmanon) ke liye aakhirat mein.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5839
ع) حدثني محمد، اخبرنا وكيع، اخبرنا شعبة، عن قتادة، عن انس، قال:" رخص النبي صلى الله عليه وسلم للزبير، وعبد الرحمن في لبس الحرير لحكة بهما".
Hum se Muhammad ne bayan kiya, kaha hum ko Shubah ne khabar di, unhein Qatadah ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Zubayr aur Abdur Rahman razi Allahu anhuma ko kyunke unhein kharish ho gayi thi, resham pehnne ki ijazat di thi.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة