الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجهاد والسير
Kitab: Jihad ka bayan
باب الدرق:
Bab: Dhaal ke bayan mein.
Show diacritics
Hadith Number: 2906
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني ابن وهب، قال: عمرو حدثني ابو الاسود، عن عروة، عن عائشة رضي الله عنها" دخل علي رسول الله صلى الله عليه وسلم وعندي جاريتان تغنيان بغناء بعاث فاضطجع على الفراش وحول وجهه فدخل ابو بكر فانتهرني، وقال: مزمارة الشيطان عند رسول الله صلى الله عليه وسلم فاقبل عليه رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال:" دعهما فلما غفل غمزتهما فخرجتا.
Hum se Ismail ne bayan kiya, kaha ke mujh se Ibn Wahb ne bayan kiya ke Amr ne kaha ke mujh se Abul Aswad ne bayan kiya, un se Urwah ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) mere yahan tashreef laye to do larkiyan mere paas jung-e-Baas ke geet ga rahi thiin. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) bistar par lait gaye aur chehra mubarak doosri taraf kar liya is ke baad Abu Bakr (Radi Allahu Anhu) aa gaye aur aap ne mujhe danta ke ye shaitani gana aur Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki maujoodgi mein! Lekin aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) un ki taraf mutawajje hue aur farmaya ke inhein gane do, phir jab Abu Bakr (Radi Allahu Anhu) doosri taraf mutawajje ho gaye to mein ne un larkiyon ko ishara kiya aur wo chali gayiin
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 454
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، قال: حدثنا إبراهيم بن سعد، عن صالح، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عروة بن الزبير، ان عائشة، قالت:" لقد رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم يوما على باب حجرتي والحبشة يلعبون في المسجد، ورسول الله صلى الله عليه وسلم يسترني بردائه، انظر إلى لعبهم".
Hum se Abdul Aziz bin Abdullah ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Ibrahim bin Saad ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Saleh bin Kaisan ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Ibn Shihab ne bayan kiya , unhon ne kaha ke mujhe Urwah bin Zubair ne khabar di ke Aisha raziyallahu anha ne kaha mein ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ko ek din apne hijra ke darwaze par dekha . Is waqt Habsha ke kuch log masjid mein neezo se khel rahe thay hathiyar chalane ki mashq kar rahe thay Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne mujhe apni chadar mein chhupa liya taake mein un ka khel dekh sakun .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة