الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجهاد والسير
Kitab: Jihad ka bayan
باب الحراسة فى الغزو فى سبيل الله:
Bab: Allah ke raste mein jihad mein pehra dena kaisa hai?
Hadith Number: 2885
حدثنا إسماعيل بن خليل، اخبرنا علي بن مسهر، اخبرنا يحيى بن سعيد، اخبرنا عبد الله بن عامر بن ربيعة، قال: سمعت عائشةرضي الله عنها، تقول: كان النبي صلى الله عليه وسلم" سهر فلما قدم المدينة، قال: ليت رجلا من اصحابي صالحا يحرسني الليلة إذ سمعنا صوت سلاح، فقال: من هذا، فقال: انا سعد بن ابي وقاص جئت لاحرسك، ونام النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Ismail Bin Khalil ne bayan kiya, kaha hum ko Ali Bin Mushir ne khabar di, kaha hum ko Yahya Bin Saeed ne khabar di, kaha hum ko Abdullah Bin Rabia Bin Aamir ne khabar di, kaha ke mein ne Aisha (Radi Allahu Anha) se suna, aap bayan karti thiin ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne (ek raat) bedari mein guzari, Madinah pahunchne ke baad Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Kash! Mere ashab mein se koi naik mard aisa hota jo raat bhar hamara pahra deta!" Abhi yahi batein ho rahi thiin ke hum ne hathiyar ki jhankaar suni. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne daryaft farmaya "Ye kaun sahab hain?" (Aane wale ne) kaha mein hoon Saad Bin Abi Waqas, aap ka pahra dene ke liye hazir hua hoon. Phir Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) khush hue. Un ke liye dua farmai aur aap so gaye
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7231
حدثنا خالد بن مخلد، حدثنا سليمان بن بلال، حدثني يحيى بن سعيد، سمعت عبد الله بن عامر بن ربيعة، قال: قالت عائشة:" ارق النبي صلى الله عليه وسلم ذات ليلة، فقال: ليت رجلا صالحا من اصحابي يحرسني الليلة، إذ سمعنا صوت السلاح، قال: من هذا؟، قال سعد: يا رسول الله، جئت احرسك، فنام النبي صلى الله عليه وسلم حتى سمعنا غطيطه، قال ابو عبد الله، وقالت عائشة، قال بلال: الا ليت شعري هل ابيتن ليلة بواد وحولي إذخر وجليل، فاخبرت النبي صلى الله عليه وسلم".
`Hum se Khalid bin Makhlad ne bayan kiya, kaha hum se Sulaiman bin Bilal ne bayan kiya, kaha mujh se Yahya bin Said ne bayan kiya, unhon ne Abdullah bin Aamir bin Rabi'a se suna ke Aisha Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke ek raat Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ko neend na aayi, phir Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Kash mere sahabah mein se koi naik mard mere liye aaj raat pehra deta.“ Itne mein hum ne hathiyaron ki aawaz suni. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne poocha kaun sahab hain? Bataya gaya ke Saad bin Abi Waqas Radi Allahu Anhu hain ya Rasul Allah! (unhon ne kaha) mein Aap ke liye pehra dene aaya hoon, phir Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم soye yahan tak ke hum ne Aap ke kharrate ki aawaz sune. Abu Abdullah Imam Bukhari Rahimahullah ne bayan kiya ke Aisha Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke Bilal Radi Allahu Anhu jab naye naye Madinah aaye to ba-halat-e-bukhar hairani mein yeh sher parhte thay. ”Kash mein jaanta ke mein ek raat is wadi mein guzar sakoon ga... (wadi mein) aur mere chaaron taraf izkhir aur jaleel ghaas ho gi.“ Phir mein ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se is ki khabar ki.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة