الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجهاد والسير
Kitab: Jihad ka bayan
باب من حدث بمشاهده فى الحرب:
Bab: Jo shakhs apni larai ke karname bayan kare, us ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 2824
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا حاتم، عن محمد بن يوسف، عن السائب بن يزيد، قال: صحبت طلحة بن عبيد الله وسعدا والمقداد بن الاسود وعبد الرحمن بن عوف رضي الله عنهم، فما سمعت احدا منهم يحدث، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم إلا اني سمعت طلحة، يحدث عن يوم احد.
Hum se Qutaiba Bin Saeed ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Hatim ne bayan kiya Muhammad Bin Yusuf se, un se Saib Bin Yazid (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mein Talha Bin Ubaidullah, Saad Bin Abi Waqas, Miqdad Bin Aswad aur Abdur Rahman Bin Auf (Radi Allahu Anhum) ki suhbat mein baitha hoon lekin mein ne kisi ko Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki hadees bayan karte nahi suna. Albatta Talha (Radi Allahu Anhu) se suna ke wo Uhud ki jung ke mutalliq bayan kiya karte thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4062
حدثنا عبد الله بن ابي الاسود , حدثنا حاتم بن إسماعيل , عن محمد بن يوسف , قال: سمعت السائب بن يزيد , قال:" صحبت عبد الرحمن بن عوف , وطلحة بن عبيد الله , والمقداد , وسعدا رضي الله عنهم , فما سمعت احدا منهم يحدث عن النبي صلى الله عليه وسلم إلا اني سمعت طلحة يحدث عن يوم احد".
Hum se Abdullah Bin Abi Al-Aswad ne bayan kiya, kaha hum se Hatim Bin Ismail ne bayan kiya, un se Muhammad Bin Yusuf ne bayan kiya, un se Saib Bin Yazid ne ke mein, Abdur Rahman Bin Auf, Talha Bin Ubaidullah, Miqdad Bin Aswad aur Saad Bin Abi Waqqas (Radi Allahu Anhum) ki suhbat mein raha hoon lekin mein ne in hazrat mein se kisi ko Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se koi hadees bayan karte nahi suna. Sirf Talha Radi Allahu Anhu se Ghazwa Uhud ke mutaliq hadees suni thi
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة