الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجهاد والسير
Kitab: Jihad ka bayan
باب تمني المجاهد أن يرجع إلى الدنيا:
Bab: Shaheed ka dobara dunya mein wapas aane ki aarzoo karna.
Show diacritics
Hadith Number: 2817
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، قال: سمعت قتادة، قال: سمعت انس بن مالك رضي الله عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" ما احد يدخل الجنة يحب ان يرجع إلى الدنيا، وله ما على الارض من شيء إلا الشهيد يتمنى ان يرجع إلى الدنيا، فيقتل: عشر مرات لما يرى من الكرامة".
Hum se Muhammad Bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Ghundar ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, kaha mein ne Qatada se suna, kaha ke mein ne Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) se suna ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya koi shakhs bhi aisa na ho ga jo jannat mein dakhil hone ke baad duniya mein dobara aana pasand kare, khwah use sari duniya mil jaye siwaye shaheed ke. Is ki ye tamanna hogi ke duniya mein dobara wapas ja kar das martaba aur qatl ho (Allah ke raste mein) kyunke wo shahadat ki izzat wahan dekhta hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2795
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا معاوية بن عمرو، حدثنا ابو إسحاق، عن حميد، قال: سمعت انس بن مالك رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" ما من عبد يموت له عند الله خير يسره ان يرجع إلى الدنيا وان له الدنيا، وما فيها إلا الشهيد لما يرى من فضل الشهادة، فإنه يسره ان يرجع إلى الدنيا فيقتل مرة اخرى".
Hum se Abdullah Bin Muhammad ne bayan kiya, kaha hum se Muawiyah Bin Amr ne bayan kiya, kaha ke hum se Abu Ishaq ne bayan kiya, un se Humaid ne bayan kiya aur unhon ne Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) se suna ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Koi bhi Allah ka banda jo mar jaye aur Allah ke paas is ki kuch bhi neki jama ho wo phir duniya mein aana pasand nahi karta go is ki sari duniya aur jo kuch is mein hai sab kuch mil jaye magar shaheed phir duniya mein aana chahta hai ke jab wo (Allah Ta'ala ke) yahan shahadat ki fazeelat ko dekhe ga to chahe ga ke duniya mein dobara aaye aur phir qatl ho (Allah Ta'ala ke raste mein)."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة