الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجهاد والسير
Kitab: Jihad ka bayan
باب أفضل الناس مؤمن يجاهد بنفسه وماله فى سبيل الله:
Bab: Sab logon mein afzal woh shakhs hai jo Allah ki raah mein apni jaan aur maal se jihad kare.
Show diacritics
Hadith Number: 2787
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني سعيد بن المسيب، ان ابا هريرة، قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" مثل المجاهد في سبيل الله، والله اعلم، بمن يجاهد في سبيله كمثل الصائم القائم، وتوكل الله للمجاهد في سبيله، بان يتوفاه ان يدخله الجنة، او يرجعه سالما مع اجر، او غنيمة".
Hum se Abul Yaman ne bayan kiya ' kaha hum ko Shuaib ne khabar di ' un se Zuhri ne bayan kiya ke mujhe Saeed Bin Musayyib ne khabar di aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna ' Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) farma rahe thay ke Allah ke raste mein jehad karne wale ki misal. . . . Aur Allah Ta'ala is shakhs ko khoob janta hai jo (khuloos-e-dil ke sath sirf Allah Ta'ala ki raza ke liye) Allah ke raste mein jehad karta hai. . . . Is shakhs ki si hai jo raat mein barabar namaz parhta rahe aur din in mein barabar roze rakhta rahe aur Allah Ta'ala ne apne raste mein jehad karne wale liye is ki zimmedari le li hai ke agar ise shahadat dega to ise be-hisab-o-kitab jannat mein dakhil karega ya phir zinda-o-salamat (ghar) sawab aur maal-e-ghaneemat ke sath wapas karega
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 36
حدثنا حرمي بن حفص، قال: حدثنا عبد الواحد، قال: حدثنا عمارة، قال: حدثنا ابو زرعة بن عمرو بن جرير، قال: سمعت ابا هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" انتدب الله لمن خرج في سبيله لا يخرجه إلا إيمان بي وتصديق برسلي، ان ارجعه بما نال من اجر او غنيمة او ادخله الجنة، ولولا ان اشق على امتي ما قعدت خلف سرية، ولوددت اني اقتل في سبيل الله، ثم احيا، ثم اقتل، ثم احيا، ثم اقتل".
Hum se Harami bin Hafs ne bayan kiya, un se Abdul Waahid ne, un se Umarah ne, un se Abu Zur’ah bin Amr bin Jareer ne, woh kehte hain main ne Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se suna, woh Rasoolulllah Sallallahu Alaihi Wasallam se naql karte hain Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke jo shakhs Allah ki raah mein (jihaad ke liye) nikla, Allah us ka zaamin ho gaya. (Allah Ta’ala farmaata hai) us ko meri zaat par yaqeen aur mere paighambaron ki tasdeeq ne (is sarfaroshi ke liye ghar se) nikala hai. (Main is baat ka zaamin hun) ke ya to us ko waapas kar dun sawab aur maal-e-ghaneemat ke saath, ya (shaheed hone ke baad) jannat mein daakhil kar dun (Rasoolulllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya) aur agar main apni ummat par (is kaam ko) dushwaar na samjhta to lashkar ka saath na chorta aur meri khwahish hai ke Allah ki raah mein maara jaaon, phir zindah kiya jaaon, phir maara jaaon, phir zindah kiya jaaon, phir maara jaaon.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة