الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الوصايا
Kitab: Wasiyaton ke masail ka bayan
باب قول الله تعالى: {وإذا حضر القسمة أولو القربى واليتامى والمساكين فارزقوهم منه} :
Bab: Allah Taala ka irshad ke“jab (meerath ki taqseem) ke waqt rishta daar (jo waris na hon) aur yateem aur maskeen aa jayen to un ko bhi turke mein se kuch kuch khila do (aur agar khilana na ho sake to) achhi baat keh kar narmi se taal do“.
Show diacritics
Hadith Number: 2759
حدثنا محمد بن الفضل ابو النعمان، حدثنا ابو عوانة، عن ابي بشر، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:إن ناسا يزعمون ان هذه الآية نسخت، ولا، والله ما نسخت ولكنها مما تهاون الناس، هما واليان: وال يرث، وذاك الذي يرزق، ووال لا يرث فذاك الذي يقول بالمعروف، يقول: لا املك لك ان اعطيك".
Hum se Abul Numan Muhammad Bin Fazl ne bayan kiya ' kaha hum se Abu Awanah ne bayan kiya Abu Bishr Jafar se ' un se Saeed Bin Jubair ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne farmaya ke kuch log guman karne lage hain ke ye ayat (jis zikr unwan mein hua) miras ki ayat mansookh ho gayi hai ' nahi qasam Allah ki ayat mansookh nahi hui albatta log is par amal karne mein sust ho gaye hain. Tarke ke lene wale do tarah ke hote hain ek wo jo waris hon un ko hissa diya jayega doosre wo jo waris na hon un ko narmi se jawab dene ka hukm hai. Wo yun kahe miyan mein tum ko dene ka ikhtiyar nahi rakhta
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4076
حدثني عمرو بن علي حدثنا ابو عاصم حدثنا ابن جريج عن عمرو بن دينار عن عكرمة عن ابن عباس قال اشتد غضب الله على من قتله نبي، اشتد غضب الله على من دمى وجه رسول الله صلى الله عليه وسلم.
Mujh se Amr Bin Ali ne bayan kiya, kaha hum se Abu Asim ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Juraij ne bayan kiya, un se Amr Bin Dinar ne, un se Ikrima ne aur un se Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Allah Ta'ala ka intehayi ghazab is shakhs par nazil hua jise Allah ke nabi ne qatl kiya tha. Allah Ta'ala ka intehayi ghazab is shakhs par nazil hua jis ne (yani Abdullah Bin Qami'ah ne la'natullah alaihi) Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke chehra-e-mubarak ko khoon alood kiya tha
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة