الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الهبة
Kitab: Hiba ke masail, fazeelat aur targheeb ka bayan
باب فضل المنيحة:
Bab: Tahfa «maniha» ki fazilat ke bare mein.
Show diacritics
Hadith Number: 2629
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" نعم المنيحة اللقحة الصفي منحة، والشاة الصفي تغدو بإناء وتروح بإناء". حدثنا عبد الله بن يوسف، وإسماعيل، عن مالك، قال: نعم الصدقة.
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Imam Malik ne bayan kiya, un se Abu-uz-Zinad ne, un se Aaraj ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, kya hi umda hai hadiya is doodh dene wali ontni ka jis ne abhi haal hi mein baccha jana ho aur doodh dene wali bakri ka jo subah-o-shaam apne doodh se bartan bhar deti hai. Hum se Abdullah Bin Yusuf aur Ismail ne bayan kiya, un se Imam Malik ne bayan kiya ke (doodh dene wali ontni ka) sadqa kya hi umda hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5608
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، حدثنا ابو الزناد، عن عبد الرحمن، عن ابي هريرة رضي الله عنه: ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" نعم الصدقة اللقحة الصفي منحة" والشاة الصفي: منحة تغدو بإناء وتروح بآخر.
Hum se Abu al-Yaman ne bayan kiya , kaha hum ko Shuayb ne khabar di , kaha hum se Abu al-Zinad ne bayan kiya , in se Abdur Rahman Aaraj ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke kiya hi umdah sadqa hai khoob doodh dene wali oontni jo kuch dinon ke liye kisi ko atiya ke taur par di gayi ho aur khoob doodh dene wali bakri jo kuch dinon ke liye atiya ke taur par di gayi ho jis se subah o shaam doodh bartan bhar bhar kar nikala jaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة